junun mein kar diya tha kab kuchh nahin pata tha
junūn meñ kar diyā thā kab kuchh nahīñ pata thā
maiñ 'ishq meñ mubtalā thā tab kuchh nahīñ pata thā
ye DhūñDhte ho jo ab junūñ se farār kī raah
tum is taraf aa.e kyoñ the jab kuchh nahīñ pata thā
samajh nahīñ aa rahī thī ro.uuñ phirūñ ki so.uuñ
thī hijr kī pahlī pahlī shab kuchh nahīñ pata thā
mujhe bas itnā pata thā afsurdagī bahut hai
natīja daurāniya sabab kuchh nahīñ pata thā
maiñ chūmtā thā vo haath dīvāna-vār 'najmī'
vo ḳhabt thā 'ishq yā adab kuchh nahīñ pata thā
junun mein kar diya tha kab kuchh nahin pata tha
main 'ishq mein mubtala tha tab kuchh nahin pata tha
ye DhunDhte ho jo ab junun se farar ki rah
tum is taraf aae kyon the jab kuchh nahin pata tha
samajh nahin aa rahi thi roun phirun ki soun
thi hijr ki pahli pahli shab kuchh nahin pata tha
mujhe bas itna pata tha afsurdagi bahut hai
natija dauraniya sabab kuchh nahin pata tha
main chumta tha wo hath diwana-war 'najmi'
wo KHabt tha 'ishq ya adab kuchh nahin pata tha
- Book : Aakhiri Tasveer (Pg. 21)
 - Author : Umair Nazmi
 - Publication : Rekhta Publications (2024)
 - Edition : First
 
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.