SEARCH RESULTS
Showing search results for "fart-e-nazaakat"
MOST RELEVANT MATCHES FOR "fart-e-nazaakat"
Sher
yaar kii fart-e-nazaakat kaa huu.n mai.n shukr-guzaar
dhyaan bhii us kaa mire dil se nikalne na diyaa
Asad Ali Khan Qalaq
Ghazal
yuu.n to kyaa aa.egaa tuu fart-e-nazaakat se yahaa.n
saKHt dushvaar hai dhoke me.n bhii aanaa teraa
Dagh Dehlvi
Ghazal
raasta rok liyaa fart-e-nazaakat ne kabhii
paas aa.e to unhe.n duur hayaa ne rakkhaa
Khar Dehlavi
Ghazal
ho ga.ii fart-e-nazaakat se hayaa kii shohrat
aa gayaa un ko pasiina jo la.Dii merii aa.nkh
Taashshuq Lakhnavi
Ghazal
ziyaada fart-e-nazaakat se sargiraa.n vo hu.e
lagaa liyaa kabhii sandal jo dard-e-sar ke liye
Munshi Shiv Parshad Wahbi
DICTIONARY MATCHES
MORE MATCHES FOR "fart-e-nazaakat"
Ghazal
do qadam fart-e-nazaakat se nahii.n chal saktaa
ra.ng ho jaataa hai us kaa dam-e-raftaar safed
Amanat Lakhnavi
Ghazal
fart-e-maayuusii ne murda hasrate.n
dafn kar dii hai.n dil-e-biimaar me.n
Parveen Umm-e-Mushtaq
Ghazal
Aal-e-Raza Raza
Ghazal
fart-e-Gam-e-havaadis-e-dauraa.n ke baavajuud
jab bhii tire dayaar se guzre machal ga.e
Ahmad Riyaz
Sher
fart-e-Gam-e-havaadis-e-dauraa.n ke baavajuud
jab bhii tire dayaar se guzre machal ga.e
Ahmad Riyaz
Ghazal
fart-e-shauq-e-jamaal-e-yaar ke haath
daaman-e-sabr taar-taar hai aaj
Meer Muzaffar Husain Zameer
Ghazal
ai bahaar-e-gulshan-e-naaz-o-nazaakat har taraf
tere aane se hu.ii hai aur bhii bustaa.n me.n dhuum
Meer Mohammadi Bedar
Kulliyat
ho tum jo mere hairatii-e-fart-e-shauq-e-vasl
kyaa jaano dil kisuu se tumhaaraa lagaa nahii.n