SEARCH RESULTS
Showing search results for "saath"
MOST RELEVANT MATCHES FOR "saath"
Sher
ujaale apnii yaado.n ke hamaare saath rahne do
na jaane kis galii me.n zindagii kii shaam ho jaa.e
Bashir Badr
Nazm
bhali si ek shakl thi
na ye ki vo chale to kahkashaa.n sii rahguzar lage
magar vo saath ho to phir bhalaa bhalaa safar lage
Ahmad Faraz
Ghazal
tumhaare saath ye mausam farishto.n jaisaa hai
tumhaare baa'd ye mausam bahut sataa.egaa
Bashir Badr
Sher
mai.n akelaa hii chalaa thaa jaanib-e-manzil magar
log saath aate ga.e aur kaarvaa.n bantaa gayaa
Majrooh Sultanpuri
DICTIONARY MATCHES
MORE MATCHES FOR "saath"
Ghazal
baat dariyaa.o.n kii suuraj kii na terii hai yahaa.n
do qadam jo bhii mire saath chalaa baiTh gayaa
Tahzeeb Hafi
Sher
hu.aa hai tujh se bichha.Dne ke baa'd ye maa'luum
ki tuu nahii.n thaa tire saath ek duniyaa thii
Ahmad Faraz
Ghazal
Bashir Badr
Ghazal
jis tarah se tho.Dii sii tire saath kaTii hai
baaqii bhii usii tarah guzar jaa.e to achchhaa
Sahir Ludhianvi
Ghazal
judaa.iyaa.n to muqaddar hai.n phir bhii jaan-e-safar
kuchh aur duur zaraa saath chal ke dekhte hai.n
Ahmad Faraz
Ghazal
mai.n tire saath sitaaro.n se guzar saktaa huu.n
kitnaa aasaan mohabbat kaa safar lagtaa hai