SEARCH RESULTS
Showing search results for "KHushaa"
Sher MATCHES FOR "KHushaa"
Sher
ham ko ma.aluum hai jannat kii haqiiqat lekin
dil ke KHush rakhne ko 'Gaalib' ye KHayaal achchhaa hai
Mirza Ghalib
Sher
Abu Mohammad Sahar
Sher
ban.ne lage hai.n daaG sitaare KHushaa nasiib
taariik aasmaan shab-e-intizaar thaa
Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi
Sher
KHushaa vo dard ke lamhe ki tere jaane par
hamaarii anjuman-e-Gam me.n lauT aa.e hai.n
Shahzad Ahmad
Sher
KHushaa vo daur ki jab markaz-e-nigaah the ham
pa.Daa jo vaqt to ab ko.ii ruu-shanaas nahii.n
Siraj Lakhnavi
Sher
Raza Azimabadi
Sher
vo to KHush-buu hai havaa.o.n me.n bikhar jaa.egaa
mas.ala phuul kaa hai phuul kidhar jaa.egaa
Parveen Shakir
Sher
kis kis ko bataa.e.nge judaa.ii kaa sabab ham
tuu mujh se KHafaa hai to zamaane ke liye aa
Ahmad Faraz
Sher
Gam aur KHushii me.n farq na mahsuus ho jahaa.n
mai.n dil ko us maqaam pe laataa chalaa gayaa
Sahir Ludhianvi
Sher
dil de to is mizaaj kaa parvardigaar de
jo ranj kii gha.Dii bhii KHushii se guzaar de
Dagh Dehlvi
Sher
Mirza Ghalib
Sher
Parveen Shakir
Sher
ab to KHushii kaa Gam hai na Gam kii KHushii mujhe
be-his banaa chukii hai bahut zindagii mujhe
Shakeel Badayuni
Sher
log kahte hai.n ki tuu ab bhii KHafaa hai mujh se
terii aa.nkho.n ne to kuchh aur kahaa hai mujh se
Jan Nisar Akhtar
Sher
shab-e-visaal hai gul kar do in charaaGo.n ko
KHushii kii bazm me.n kyaa kaam jalne vaalo.n kaa