SEARCH RESULTS
Showing search results for "aaGaaz-e-mohabbat"
Sher MATCHES FOR "aaGaaz-e-mohabbat"
Sher
aaGaaz-e-mohabbat kaa anjaam bas itnaa hai
jab dil me.n tamannaa thii ab dil hii tamannaa hai
Jigar Moradabadi
Sher
aaGaaz-e-mohabbat se anjaam-e-mohabbat tak
''ik aag kaa dariyaa hai aur Duub ke jaanaa hai''
Sarwar Alam Raz
Sher
aaGaaz-e-mohabbat se anjaam-e-mohabbat tak
guzraa hai jo kuchh ham par tum ne bhii sunaa hogaa
Dil Shahjahanpuri
Sher
abhii aaGaaz-e-mohabbat hai kuchh is kaa anjaam
tujh ko ma.aluum hai ai diida-e-nam kyaa hogaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
ye arsh se aanaa to aaGaaz-e-mohabbat thaa
ab farsh pe aa.e hai.n anjaam se khele.nge
Mehr Zarreen
Sher
ye bhii aaGaaz-e-mohabbat me.n bahut hai mujh ko
dekhtaa letaa huu.n use haath lagaa letaa huu.n
Anjum Saleemi
Sher
Ajiz Matvi
Sher
Aal-e-Raza Raza
Sher
haa.e us dast-e-karam hii se mile jaur-o-jafaa
mujh ko aaGaaz-e-mohabbat hii me.n mar jaanaa thaa
Khalil Ur Rahman Azmi
Sher
maKHluuq ko tumhaarii mohabbat me.n ai buto
iimaan kaa KHayaal na islaam kaa lihaaz
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
Chakbast Braj Narayan
Sher
Hasrat Mohani
Sher
Khalid Hasan Qadiri
Sher
ahd-e-aaGaaz-e-tamannaa bhii mujhe yaad nahii.n
mahv-e-hairat huu.n ki itnaa bhii mujhe yaad nahii.n
Shaukat Pardesi
Sher
Meem Maroof Ashraf
Sher
majaal-e-tark-e-mohabbat na ek baar hu.ii
KHayaal-e-tark-e-mohabbat to baar baar kiyaa
Wahshat Kalkattavi
Sher
fareb-e-ahd-e-mohabbat kii saadgii kii qasam
vo jhuuT bol ki sach ko bhii pyaar aa jaa.e
Firaq Gorakhpuri
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
junuun-e-mohabbat yahaa.n tak to pahu.nchaa
ki tark-e-mohabbat kiyaa chaahtaa huu.n