SEARCH RESULTS
Showing search results for "aagah"
Sher MATCHES FOR "aagah"
Sher
aagaah apnii maut se ko.ii bashar nahii.n
saamaan sau baras kaa hai pal kii KHabar nahii.n
Hairat Allahabadi
Sher
us kii beTii ne uThaa rakkhii hai duniyaa sar par
KHairiyat guzrii ki anguur ke beTaa na hu.aa
Agah Dehlvi
Sher
'mahtaab' haqiiqat se aagaah karo un ko
jo log nahii.n samjhe urdu kaa maqaam ab tak
Bashir Mehtaab
Sher
kun-fakaa.n ke bhed se maulaa mujhe aagaah kar
kaun huu.n mai.n gar yahaa.n par duusraa ko.ii nahii.n
Amjad Islam Amjad
Sher
tabiibo.n kii tavajjoh se maraz hone lagaa duunaa
davaa is dard kii batlaa dil-e-aagaah kyaa kiije
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
mai.n ne savaal-e-vasl jo un se kiyaa kabhii
bole nasiib me.n hai to ho jaa.egaa kabhii
Agah Dehlvi
Sher
tuu mere dard se aagaah yuu.n na hovegaa
ilaahii choT kisii din tire bhii dil ko lage
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
kyaa KHuub mere baKHt kii manDve cha.Dhii hai bel
naa baaG na bahaar na kaa.nTaa naa phuul huu.n
Baqar Agah Vellori
Sher
jhuuT-muuT un se mai.n kuchh maslahatan boluu.ngaa
sach hai tuu bol na uThiyo dil-e-aagaah ki jhuuT
Meer Hasan
Sher
kyaa faa.eda hai qissa-e-rizvaan se tujhe
ko.ii sham.a-ruu parii sate tuu bhii lagan lagaa
Baqar Agah Vellori
Sher
mai.n tere hijr me.n jiine se ho gayaa thaa udaas
pe garm-joshii se kyaa kyaa manaayaa ashk miraa
Baqar Agah Vellori
Sher
sar-e-saudaa pe tire sher-e-rasaa se 'aagaah'
silsila hashr kaa barpaa na hu.aa thaa so hu.aa
Baqar Agah Vellori
Sher
kuchh KHabar detaa nahii.n us kii dil-e-aagah mujhe
vahii ke maanind ab mauquuf hai ilhaam kaa
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
ye na thii hamaarii qismat ki visaal-e-yaar hotaa
agar aur jiite rahte yahii intizaar hotaa
Mirza Ghalib
Sher
Mustafa Zaidi
Sher
mohabbato.n me.n dikhaave kii dostii na milaa
agar gale nahii.n miltaa to haath bhii na milaa