SEARCH RESULTS
Showing search results for "aamil"
Sher MATCHES FOR "aamil"
Sher
dil naa-umiid to nahii.n naakaam hii to hai
lambii hai Gam kii shaam magar shaam hii to hai
Faiz Ahmad Faiz
Sher
Aamil Darvesh
Sher
Ameer Minai
Sher
koshish bhii kar umiid bhii rakh raasta bhii chun
phir is ke baa'd tho.Daa muqaddar talaash kar
Nida Fazli
Sher
na ko.ii va.ada na ko.ii yaqii.n na ko.ii umiid
magar hame.n to tiraa intizaar karnaa thaa
Firaq Gorakhpuri
Sher
gaahe gaahe kii mulaaqaat hii achchhii hai 'amiir'
qadr kho detaa hai har roz kaa aanaa jaanaa
Ameer Minai
Sher
na jaane kis liye ummiid-vaar baiThaa huu.n
ik aisii raah pe jo terii rahguzar bhii nahii.n
Faiz Ahmad Faiz
Sher
ye sard raat ye aavaargii ye nii.nd kaa bojh
ham apne shahr me.n hote to ghar ga.e hote
Ummeed Fazli
Sher
mere TuuTe hausle ke par nikalte dekh kar
us ne diivaaro.n ko apnii aur uu.nchaa kar diyaa
Adil Mansuri
Sher
ab to is raah se vo shaKHs guzartaa bhii nahii.n
ab kis ummiid pe darvaaze se jhaa.nke ko.ii
Parveen Shakir
Sher
KHanjar chale kisii pe ta.Dapte hai.n ham 'amiir'
saare jahaa.n kaa dard hamaare jigar me.n hai
Ameer Minai
Sher
kam se kam maut se aisii mujhe ummiid nahii.n
zindagii tuu ne to dhoke pe diyaa hai dhoka