SEARCH RESULTS
Showing search results for "adab-aadaab"
Sher MATCHES FOR "adab-aadaab"
Sher
ik to ham ko adab aadaab ne pyaasaa rakkhaa
us pe mahfil me.n suraahii ne bhii gardish nahii.n kii
Ahmad Faraz
Sher
har baat dil kii lab pe nahii.n laanaa laazmii
kuchh guftuguu me.n bhii adab aadaab chaahiye
Zyesha Usmaan
Sher
Ahmad Faraz
Sher
jis kii adaa adaa pe ho insaaniyat ko naaz
mil jaa.e kaash aisaa bashar Dhuu.nDte hai.n ham
Ajiz Matvi
Sher
lamhe udaas udaas fazaa.e.n ghuTii ghuTii
duniyaa agar yahii hai to duniyaa se bach ke chal
Shakeel Badayuni
Sher
Gazal churaa ke kabhii KHidmat-e-adab kar lii
paka.D ga.e to vahii.n ma.azarat talab kar lii
Dilawar Figar
Sher
har qarz-KHvaah hadd-e-adab laa.ngne lagaa
dil apnii maGfirat kii du.aa maa.ngne lagaa
Furqat Kakorvi
Sher
dekhiye tark-e-adab kii kyaa milii ta.aziir kal
piiTh hai suu-e-haram mu.nh hai suu-e-but-KHaana aaj
Imdad Ali Bahr
Sher
mire zauq-e-adab ko der me.n aaraam aa.egaa
kahii.n pichhle pahar tak shaa.era kaa naam aa.egaa
Popular Meeruthi
Sher
ajiib hote hai.n aadaab-e-ruKHsat-e-mahfil
ki vo bhii uTh ke gayaa jis kaa ghar na thaa ko.ii
Sahar Ansari
Sher
ye baato.n me.n narmii ye tahziib-o-aadaab
sabhii kuchh milaa ham ko urdu zabaa.n se
Bashir Mehtaab
Sher
jab ishq sikhaataa hai aadaab-e-KHud-aagaahii
khulte hai.n Gulaamo.n par asraar-e-shahanshaahii
Allama Iqbal
Sher
baarhaa paas-e-adab se na ga.e us ke qariib
baarhaa duur se us rashk-e-qamar ko dekhaa
Dr. Ahmar Rifai
Sher
pahle ye shukr ki ham hadd-e-adab se na ba.Dhe
ab ye shikva ki sharaafat ne kahii.n kaa na rakhaa