SEARCH RESULTS
Showing search results for "al-madad"
Sher MATCHES FOR "al-madad"
Sher
al-madad ai jazba-e-zauq-e-mohabbat al-madad
ishq ne aavaaz dii be-iKHtiyaaraana mujhe
Sohail Azeemabadi
Sher
ta.ngii-e-hai.at se Takraataa hu.aa josh-e-mavaad
shaa.erii kaa lutf aa jaataa hai chhoTii bahr me.n
Shuja Khaavar
Sher
kuchh aur vus'ate.n darkaar hai.n mohabbat ko
visaal-o-hijr pe daar-o-madaar mushkil hai
Jamal Ehsani
Sher
KHudaa kaa shukr hai chakkar ka.ii se hai.n apne
bas ek biivii pe daar-o-madaar tho.Dii hai
Ahmad Alvi
Sher
mazaa pa.Daa hai qanaa.at kaa ahd-e-tiflii se
mai.n ser ho ke na piitaa thaa shiir-e-maadar ko
Rind Lakhnavi
Sher
Chakbast Braj Narayan
Sher
hamaare aib me.n jis se madad mile ham ko
hame.n hai aaj kal aise kisii hunar kii talaash
Natiq Gulavthi
Sher
naira.ng-e-ishq aaj to ho jaa.e kuchh madad
pur-fan ko ham kare.n mutahayyar kisii tarah
Pandit Jawahar Nath Saqi
Sher
na kuchh sitam se tire aah aah kartaa huu.n
mai.n apne dil kii madad gaah gaah kartaa huu.n
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
is liye kahte the dekhaa mu.nh lagaane kaa maza
aa.iina ab aap kaa madd-e-muqaabil ho gayaa
Agha Shayar Qazalbash
Sher
ek din sub.h jo uTThe.n to ye duniyaa hii na ho
hai madaar ab kisii aisii hii KHush-imkaanii par
Zafar Iqbal
Sher
aa.ina saamne ab aaTh pahar rahtaa hai
kahii.n aisaa na ho ye madd-e-muqaabil ho jaa.e