SEARCH RESULTS
Showing search results for "ba.De-ba.Do.n"
Sher MATCHES FOR "ba.De-ba.Do.n"
Sher
ba.De ba.Do.n ke qadam Dagmagaa ga.e 'taabaa.n'
rah-e-hayaat me.n aise maqaam bhii aa.e
Ghulam Rabbani Taban
Sher
daavar ne bande bando.n ne daavar banaa diyaa
saagar ne qatre qatro.n ne saagar banaa diyaa
Sehr Ishqabadi
Sher
samajh aataa hai ham ko dukh ba.Do.n kaa
ham apne ghar ke bachcho.n me.n ba.De hai.n
Afzal Ali Afzal
Sher
utaar phe.nkuu.n badan se phaTii puraanii qamiis
badan qamiis se ba.Dh kar kaTaa-phaTaa dekhuu.n
Mohammad Alvi
Sher
be-badan ruuh bane phirte rahoge kab tak
jaa.o chupke se kisii jism me.n daaKHil ho jaa.o
Farhat Ehsas
Sher
phaTe puraane badan se kise KHariid sakuu.n
saje hai.n kaa.nch ke paikar ba.Dii dukaano.n me.n
Abdur Rahim Nashtar
Sher
tire badan me.n hai.n kitnii qayaamate.n pinhaa.n
ba.De shadiid azaabo.n me.n qaid rahtaa huu.n
Shariq Jamal
Sher
jin baato.n ko sun.naa tak baar-e-KHaatir thaa
aaj unhii.n baato.n se dil bahlaa.e hu.e huu.n
Zehra Nigaah
Sher
badan ne kitnii ba.Dhaa lii hai saltanat apnii
base hai.n ishq o havas sab isii ilaaqe me.n
Nomaan Shauque
Sher
pal-bhar me.n banaa dete hai.n baato.n kaa batanga.D
rahte hai.n sadaa taak me.n ahbaab hamaare
Badr Muneer
Sher
us gul-badan kii buu-e-badan kuchh na puuchhiye
band-e-qabaa jo khol diye ghar mahak gayaa
Haidar Ali Aatish
Sher
hamaarii umr se ba.Dh kar ye bojh Daalaa gayaa
so ham ba.Do.n se buzurgo.n kii tarah milte hai.n
Ahmad Ata
Sher
ba.ad-e-fanaa bhii KHair se tanhaa nahii.n hai.n ham
bando.n se chhuT ga.e to farishto.n me.n aa mile
Rasa Rampuri
Sher
Ghulam Rabbani Taban
Sher
havas na puurii hu.ii jab kahii.n to 'ilm hu.aa
tire badan kaa rahaa mujh ko aasraa ba.Dii der