SEARCH RESULTS
Showing search results for "ba.De-ba.Do.n"
Ghazal MATCHES FOR "ba.De-ba.Do.n"
Ghazal
ba.De-ba.Do.n kii tarah-daariyaa.n nahii.n chaltii.n
uruuj terii KHabar jab zavaal letaa hai
Waseem Barelvi
Ghazal
buland ho to khule tujh pe zor pastii kaa
ba.De-ba.Do.n ke qadam Dagmagaa.e hai.n kyaa kyaa
Yagana Changezi
Ghazal
zabaan-e-ishq jo khole.n kahii.n pe sannaaTe
ba.De ba.Do.n kii bhii daanaa.iyaa.n ulajh jaa.e.n
Nirmal Nadeem
Ghazal
Gazal to kaam hai 'haaris' zabaan vaalo.n kaa
ba.De-ba.Do.n ne suKHan me.n yahaa.n pe khaa.ii choT
Haris Ali
Ghazal
milegaa KHaak me.n teraa Guruur bhii zaalim
ba.De ba.Do.n ko zamii.n khaa ga.ii hai tuu kyaa hai
Ahsan Aazmi
Ghazal
ba.De-ba.Do.n ke nasheb-o-faraaz dekhe hai.n
ko.ii mile to sahii jis kaa sar jhukaa hii na ho
Shaz Tamkanat
Ghazal
qad kaa nahii.n ba.Daa pe jasaarat to dekhiye
kitne ba.De ba.Do.n ke baraabar kha.Daa huu.n mai.n
Sabir Danish
Ghazal
jis par ba.De ba.Do.n ne haath kha.De kar Daale
do ho.nTo.n se baat sambhaalii jaa saktii hai
Iliyas Babar Aawan
Ghazal
mai.n apne 'ahd kaa jugnuu huu.n dekhnaa ik din
ba.De ba.Do.n ko mai.n hairat me.n Daal saktaa huu.n
Aakash Atharv
Ghazal
ba.De-ba.Do.n se aka.D ke miltaa huu.n aaj-kal mai.n
mujhe KHudaa.o.n me.n ek banda nikaalnaa hai
Osama Zakir
Ghazal
hamii.n the aise kahaa.n ke ki apne ghar jaate
ba.De-ba.Do.n ne guzaarii hai be-makaanii me.n
Farhat Ehsas
Ghazal
ye do-jahaan ke afraad vaqt ke hai.n Gulaam
ba.De-ba.Do.n ko bhii ham aazmaa ke baiThe hai.n
Sharar Naqwi
Ghazal
ye kaargaah-e-zehaanat hai is me.n chhoTe kyaa
ba.De-ba.Do.n ne yahaa.n par ba.Dii himaaqat kii
Azhar Inayati
Ghazal
miTaa ga.ii hai mujhe ik nigaah-e-naaz to kyaa
ba.De-ba.Do.n ko ye manzar fareb detaa hai
Amardeep Singh
Ghazal
vo kuchh sahii na sahii phir bhii zaahid-e-naadaa.n
ba.De-ba.Do.n se mohabbat me.n kaafirii na hu.ii
Jigar Moradabadi
Ghazal
ba.De-ba.Do.n ko lagaayaa na mu.nh kabhii mai.n ne
vo zarf huu.n ki na vaaqif kabhii subuu se hu.aa
Agha Hajju Sharaf
Ghazal
qayaas kis liye kahte hai.n is haqiiqat ko
Guruur-e-hast ne Daalii ba.De ba.Do.n pe KHaraash
Masood Hassas
Ghazal
na kar numuud kii KHvaahish ki ye jahaa.n vaale
ba.De-ba.Do.n kaa bhii naam-o-nishaan bhuul ga.e
Jameel Yusuf
Ghazal
ba.De ba.Do.n ke qadam jis maqaam par larze.n
'uruuj' tuu hii bataa us jagah pe tuu kyaa hai
Urooj Qadri
Ghazal
ba.De-ba.Do.n ko havaa-o-havas ne KHvaar kiyaa
hu.e nifaaq se barbaad ghar me.n aag lagii