SEARCH RESULTS
Showing search results for "bahisht"
Sher MATCHES FOR "bahisht"
Sher
Allama Iqbal
Sher
mire KHudaa ne kiyaa thaa mujhe asiir-e-bahisht
mire gunah ne rihaa.ii mujhe dilaa.ii hai
Ahmad Nadeem Qasmi
Sher
sunte hai.n jo bahisht kii taariif sab durust
lekin KHudaa kare vo tiraa jalva-gaah ho
Mirza Ghalib
Sher
vo chiiz jis ke liye ham ko ho bahisht aziiz
sivaa.e baada-e-gulfaam-e-mushk-buu kyaa hai
Mirza Ghalib
Sher
agar shu.uur na ho to bahisht hai duniyaa
ba.De azaab me.n guzrii hai aagahii ke saath
Sahba Akhtar
Sher
sunaa hai us ke shabistaa.n se muttasil hai bahisht
makii.n udhar ke bhii jalve idhar ke dekhte hai.n
Ahmad Faraz
Sher
kam nahii.n jalvagarii me.n, tire kuuche se bahisht
yahii naqsha hai vale is qadar aabaad nahii.n
Mirza Ghalib
Sher
jannat hai us baGair jahannam se bhii zubuu.n
dozaKH bahisht haigii agar yaar saath hai
Syed Mohammad Meer Asar
Sher
taa.at me.n taa rahe na mai-o-a.ngbii.n kii laag
dozaKH me.n Daal do ko.ii le kar bahisht ko
Mirza Ghalib
Sher
sunaa hai us ke shabistaa.n se muttasil hai bahisht
makii.n udhar ke bhii jalve idhar ke dekhte hai.n
Ahmad Faraz
Sher
use bahisht ke zindaa.n me.n bhej denaa tum
gunaahgaar-e-mohabbat ko ye sazaa denaa
Waseem Khairabadi
Sher
dozaKH se bhii KHaraab kahuu.n mai.n bahisht ko
do-chaar agar vahaa.n pe bhii sarmaaya-daar ho.n
Jitendra Mohan Sinha Rahbar
Sher
mai.n iktishaaf kii hijrat bahisht se laayaa
mirii talaash me.n meraa maqaam likkhaa thaa
Ahmad Shanas
Sher
garmii me.n tere kuucha-nashiino.n ke vaaste
pa.nkhe hai.n qudsiyo.n ke paro.n ke bahisht me.n
Muneer Shikohabadi
Sher
gar husn-e-gandumii tiraa un ko na thaa pasand
aadam ne chho.Daa kis liye baaG-e-bahisht ko
Kishan Kumaar Waqaar
Sher
nasiib us ke sharaab-e-bahisht hove mudaam
hu.aa hai jo ko.ii muujid sharaab-KHaane kaa
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
Sher
dilo.n se dard du.aa se asar nikaltaa hai
ye kis bahisht kii jaanib bashar nikaltaa hai