SEARCH RESULTS
Showing search results for "barbaad"
Sher MATCHES FOR "barbaad"
Sher
har vaqt kaa ha.nsnaa tujhe barbaad na kar de
tanhaa.ii ke lamho.n me.n kabhii ro bhii liyaa kar
Mohsin Naqvi
Sher
vaise to tumhii.n ne mujhe barbaad kiyaa hai
ilzaam kisii aur ke sar jaa.e to achchhaa
Sahir Ludhianvi
Sher
barbaad kar diyaa hame.n pardes ne magar
maa.n sab se kah rahii hai ki beTaa maze me.n hai
Munawwar Rana
Sher
mujh ko to hosh nahii.n tum ko KHabar ho shaayad
log kahte hai.n ki tum ne mujhe barbaad kiyaa
Josh Malihabadi
Sher
Shauq Bahraichi
Sher
Allama Iqbal
Sher
tujh ko barbaad to honaa thaa bahar-haal 'KHumaar'
naaz kar naaz ki us ne tujhe barbaad kiyaa
Khumar Barabankavi
Sher
aabaad agar na dil ho to barbaad kiijiye
gulshan na ban sake to bayaabaa.n banaa.iye
Jigar Moradabadi
Sher
tujh ko KHabar nahii.n magar ik saada-lauh ko
barbaad kar diyaa tire do din ke pyaar ne
Sahir Ludhianvi
Sher
is kaa ronaa nahii.n kyuu.n tum ne kiyaa dil barbaad
is kaa Gam hai ki bahut der me.n barbaad kiyaa
Josh Malihabadi
Sher
Meer Anees
Sher
vo kare.n bhii to kin alfaaz me.n teraa shikva
jin ko terii nigah-e-lutf ne barbaad kiyaa
Josh Malihabadi
Sher
mil-milaa ke dono.n ne dil ko kar diyaa barbaad
husn ne kiyaa be-KHud ishq ne kiyaa aazaad
Sahir Dehlavi
Sher
mujhe pata hai ki barbaad ho chukaa huu.n mai.n
tuu meraa sog manaa mujh ko sogvaar na kar