SEARCH RESULTS
Showing search results for "barbaad"
Ghazal MATCHES FOR "barbaad"
Ghazal
sunaa hai rabt hai us ko KHaraab-haalo.n se
so apne aap ko barbaad kar ke dekhte hai.n
Ahmad Faraz
Ghazal
vaise to tumhii.n ne mujhe barbaad kiyaa hai
ilzaam kisii aur ke sar jaa.e to achchhaa
Sahir Ludhianvi
Ghazal
vo gul huu.n KHizaa.n ne jise barbaad kiyaa hai
uljhuu.n kisii daaman se mai.n vo KHaar nahii.n huu.n
Akbar Allahabadi
Ghazal
har vaqt kaa ha.nsnaa tujhe barbaad na kar de
tanhaa.ii ke lamho.n me.n kabhii ro bhii liyaa kar
Mohsin Naqvi
Ghazal
vo kare.n bhii to kin alfaaz me.n teraa shikva
jin ko terii nigah-e-lutf ne barbaad kiyaa
Josh Malihabadi
Ghazal
Jaun Eliya
Ghazal
Munawwar Rana
Ghazal
barbaad-e-mohabbat kii du.aa saath liye jaa
TuuTaa hu.aa iqraar-e-vafaa saath liye jaa
Sahir Ludhianvi
Ghazal
Allama Iqbal
Ghazal
rah ga.ii ummiid to barbaad ho jaa.uu.ngaa mai.n
jaa.iye to phir mujhe sach-much bhulaate jaa.iye
Jaun Eliya
Ghazal
vo rishta-haa-e-zaat jo barbaad ho ga.e
mere gumaa.n ke the ki tumhaare gumaa.n ke the
Jaun Eliya
Ghazal
bujhaa ke taaq kii sham.e.n na dekh taaro.n ko
isii junuu.n me.n to barbaad ghar hamaare hu.e
Ahmad Faraz
Ghazal
dil ajab shahr ki jis par bhii khulaa dar is kaa
vo musaafir ise har samt se barbaad kare