SEARCH RESULTS
Showing search results for "chii.d"
Sher MATCHES FOR "chii.d"
Sher
ranjish hii sahii dil hii dukhaane ke liye aa
aa phir se mujhe chho.D ke jaane ke liye aa
Ahmad Faraz
Sher
Nida Fazli
Sher
saaz-e-ulfat chhi.D rahaa hai aa.nsu.o.n ke saaz par
muskuraa.e ham to un ko bad-gumaanii ho ga.ii
Jigar Moradabadi
Sher
Saleem Ahmed
Sher
har ik fasurda qalb pe chhaa.ii shaguftagii
jab chhi.D ga.ii hai bazm me.n us gul-badan kii baat
JaiKrishn Chaudhry Habeeb
Sher
tum mujhe chho.D ke jaa.oge to mar jaa.uu.ngaa
yuu.n karo jaane se pahle mujhe paagal kar do
Bashir Badr
Sher
ham labo.n se kah na paa.e un se haal-e-dil kabhii
aur vo samjhe nahii.n ye KHaamushii kyaa chiiz hai
Nida Fazli
Sher
kaise kah duu.n ki mujhe chho.D diyaa hai us ne
baat to sach hai magar baat hai rusvaa.ii kii
Parveen Shakir
Sher
achchhaa hai dil ke saath rahe paasbaan-e-aql
lekin kabhii kabhii ise tanhaa bhii chho.D de
Allama Iqbal
Sher
suuraj huu.n zindagii kii ramaq chho.D jaa.uu.ngaa
mai.n Duub bhii gayaa to shafaq chho.D jaa.uu.ngaa
Iqbal Sajid
Sher
us ko ruKHsat to kiyaa thaa mujhe ma.aluum na thaa
saaraa ghar le gayaa ghar chho.D ke jaane vaalaa
Nida Fazli
Sher
ab to utnii bhii mayassar nahii.n mai-KHaane me.n
jitnii ham chho.D diyaa karte the paimaane me.n