SEARCH RESULTS
Showing search results for "daavat-e-lutf-o-karam"
Sher MATCHES FOR "daavat-e-lutf-o-karam"
Sher
kal bazm me.n sab par nigah-e-lutf-o-karam thii
ik merii taraf tuu ne sitamgaar na dekhaa
Shaikh Mohammad Roshan Joshish Lakhnavi
Sher
umiide.n baa.ndh rakkhii hai.n tire lutf-o-karam se
siyah-a.amaal huu.n to goshvaara kaun dekhe
Iftikhar Haidar
Sher
'vahshat' suKHan o lutf-e-suKHan aur hii shai hai
diivaan me.n yaaro.n ke to ash.aar bahut hai.n
Wahshat Raza Ali Kalkatvi
Sher
nigaah-e-lutf-o-inaayat se faizyaab kiyaa
mujhe huzuur ne zarre se aaftaab kiyaa
Jaleel Manikpuri
Sher
paiGaam-e-lutf-e-KHaas sunaanaa basant kaa
dariyaa-e-faiz-e-aam bahaanaa basant kaa
Jitendra Mohan Sinha Rahbar
Sher
lutf-e-shab-e-mah ai dil us dam mujhe haasil ho
ik chaa.nd baGal me.n ho ik chaa.nd muqaabil ho
Mirza Mohammad Taqi Hawas
Sher
ham jaante hai.n lutf-e-taqaazaa-e-mai-farosh
vo naqd me.n kahaa.n jo mazaa hai udhaar me.n
Riyaz Khairabadi
Sher
Mirza Ali Lutf
Sher
kam milne kaa ehsaas-e-garaa.n lagtaa hai teraa
ab lutf-o-karam bhii tiraa pahle saa nahii.n hai
Masood Tanha
Sher
fareb-e-abr-e-karam bhii ba.Daa sahaaraa hai
balaa se naKHl-e-tamannaa KHizaa.n-rasiida nahii.n
Yagana Changezi
Sher
us vaqt mujh ko daavat-e-jaam-o-subuu milii
jis vaqt mai.n gunaah ke qaabil nahii.n rahaa
Saghar Khayyami
Sher
kyaa lutf-e-dostii ki nahii.n lutf-e-dushmanii
dushman ko bhii jo dekhiye puuraa kahaa.n hai ab