SEARCH RESULTS
Showing search results for "daraazii"
Sher MATCHES FOR "daraazii"
Sher
Altaf Hussain Hali
Sher
kahtii hai ai 'riyaaz' daraazii ye riish kii
TaTTii kii aa.D me.n hai mazaa kuchh shikaar kaa
Riyaz Khairabadi
Sher
shab-e-hijraa.n kii daraazii se pareshaan na thaa
ye terii zulf-e-rasaa hai mujhe ma.aluum na thaa
Syed Aabid Ali Aabid
Sher
jaada-e-raah-e-mohabbat kii daraazii mat puuchh
manzil-e-shauq kaa har zarra bayaabaa.n niklaa
Zafar Ahmad Siddiqi
Sher
umr-e-daraaz maa.ng ke laa.ii thii chaar din
do aarzuu me.n kaT ga.e do intizaar me.n
Seemab Akbarabadi
Sher
Mirza Ghalib
Sher
chho.Dne mai.n nahii.n jaataa use darvaaze tak
lauT aataa huu.n ki ab kaun use jaataa dekhe
Shahzad Ahmad
Sher
tar-daamanii pe shaiKH hamaarii na jaa.iyo
daaman nicho.D de.n to farishte vazuu kare.n
Khwaja Meer Dard
Sher
Allama Iqbal
Sher
us ne mujhe dar-asl kabhii chaahaa hii nahii.n thaa
KHud ko de kar ye bhii dhokaa, dekh liyaa hai
Parveen Shakir
Sher
darvaaza khulaa hai ki ko.ii lauT na jaa.e
aur us ke liye jo kabhii aayaa na gayaa ho
Athar Nafees
Sher
darvaaza jo kholaa to nazar aa.e kha.De vo
hairat hai mujhe aaj kidhar bhuul pa.De vo
Parveen Shakir
Sher
sirf darvaaze talak jaa ke hii lauT aayaa huu.n
aisaa lagtaa hai ki sadiyo.n kaa safar kar aayaa
Kaifi Wijdani
Sher
sunegaa kaun merii chaak-daamaanii kaa afsaana
yahaa.n sab apne apne pairahan kii baat karte hai.n
Kaleem Aajiz
Sher
ik shaKHs kar rahaa hai abhii tak vafaa kaa zikr
kaash us zabaa.n-daraaz kaa mu.nh noch le ko.ii
Jaun Eliya
Sher
Ameer Khusrau
Sher
uljhaa hai paa.nv yaar kaa zulf-e-daraaz me.n
lo aap apne daam me.n sayyaad aa gayaa