aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "daraazii"
mai.n vo shajar thaaki mere saa.e me.n baiThne aur shaaKHo.n pe jhuulne kii hazaaro.n jismo.n ko aarzuu thiizamii.n kii aa.nkhe.n daraazi-e-umar kii du.aa.o.n me.n ro rahii thii.naur suuraj ke haath thakte nahii.n the mujh ko sa.nvaarne me.nki mai.n ik aavaaz kaa safar thaaajab shajar thaaki us musaafir kaa muntazir thaajo mere saa.e me.n aa ke baiThe to phir na uTThejo merii shaaKHo.n pe aa.e jhuule to saare mausam yahii.n guzaaremagar vo paagal havaa kaa jho.nkaa magar vo paagal havaa kaa jho.nkaaajab musaafir thaa rahguzar kaajo chho.D aayaa thaa kitnii shaaKHe.nmagar lagaa yuu.n ki jaise ab vo shikasta-tar haivo mere KHvaabo.n kaa ham-safar haiso mai.n ne saa.e bichhaa diye thetamaam jhuule hilaa diye themagar vo paagal havaa kaa jho.nkaa magar vo paagal havaa kaa jho.nkaaajab musaafir thaa rahguzar thaaki lamhe bhar me.n guzar chukaa thaamai.n be-numuu aur be-samar thaamagar mai.n aavaaz kaa safar thaaso merii aavaaz kaa ajar thaaajab shajar thaaajab shajar huu.nki aane vaale sah kah rahaa huu.nai mere dil me.n utarne vaaleai mujh ko shaadaab karne vaaletujhe mirii raushnii mubaaraktujhe mirii zindagii mubaarak
ham kis dukh se apne makaan faroKHt karte hai.naur bhuuk ke liye chyuu.nTii-bhar aaTaa KHariidte hai.nhame.n band kamro.n me.n kyuu.n piro diyaa gayaa haiek din kii umr vaale to abhii darvaaza taak rahe hai.nchaal lahuu kii buu.nd buu.nd maa.ng rahii haikisii ko churaanaa ho to sab se pahle us ke qadam churaa.otum chiith.De par baiThe zabaan pe phuul hoaur aavaaz kor sii korinsaan kaa piyaala samundar ke pyaale se miTTii nikaaltaa haimiTTii ke saa.np banaataa hai aur bhuuk paaltaa haitinke jab shu.aa.o.n kii pyaas na bujhaa sake to aag lagiimai.n ne aag ko dhoyaa aur dhuup ko sukhaayaasuuraj jo din kaa siina jalaa rahaa thaaaasmaanii rang se bhar diyaaab aasmaan kii jagah koraa kaaGaz bichhaa diyaa gayaalog mausam se dhokaa khaane lagephir ek aadmii ko to.D kar mai.n ne suuraj banaayaalogo.n kii pore.n ku.e.n me.n bhar dii.naur aasmaan ko dhaaga kiyaakaa.enaat ko na.ii karvaT nasiib hu.iilogo.n ne ii.nTo.n ke makaan banaanaa chho.D diyeaa.nkho.n kii zabaan-daraazii rang laa.iiab ek qadam pe din aur ek qadam pe raat hotiihaal jur.at-e-guzishta haiaa tere baalo.n se shu.aa.o.n ke ilzaam uThaa luu.ntum apnii suurat pahaa.D kii khoh me.n ishaara kar aa.ekund havaa.o.n kaa e'tiraaf haisafar e.Dii pe kha.Daa hu.aasamundar aur miTTii ne ronaa shuruu.a kar diyaa haibelche aur baazuu ko do baazuu tasavvur karnaasuuraj aasmaan ke kone ke saath laTkaa hu.aa thaaaur apnii shu.aa.e.n apne jism ke gird lapeT rakhii thii.nmai.n ne KHaalii kamre me.n mu.aafii rakhiiaur meraa siina duusro.n ke darvaaze par dha.Daktaa rahaa
na jaane vo havaa kaa tez jho.nkaa thaayaa buu.Dhe paa.nv ke halke tavaazun kii Dhilaa.ii thiiphir la.Dke ke haatho.n kii daraazii thiiki vo buu.Dhaaba.Dii hii bebasii ke saath niiche gir gayaaaur us ke Dhalke jism nekaalii sa.Dak ke saath Takraate hii ik aavaaz dii
ajiib log thesuuraj kii raushnii ke taleKHud apne-aap ko pahchaan bhii rahe theaurlabo.n pe da.avaa-e-inkaar-e-aaftaab bhii thaavo jaante the ki suuraj kii raushnii ke sivaako.ii charaaG mayassar nahii.n hai aisaa jotalaash-e-asl-e-haqiiqat ke ziine cha.Dhte hu.ebe-imtiyaazii me.n is aaftaab jaisaa hoajiib log thesuuraj ke nuur-KHaane me.nkiraa.e-daar bhii the aur sar-niguu.n nahii.n thekisii sharaar-e-munaafiq ne un ke siino.n me.nzabaa.n-daraazii kii us aag ko havaa dii thiijise qabiila-e-Gaflat ke KHushk logo.n neanaa ke KHabt pe aflaak se nikaale hu.ekisii darinda-e-be-shakl kii tasallii parbaraa.e-nashsha-e-haivaaniyat uThaa liyaa thaamagar ye kyaaki phir aaj is hamaarii bastii me.najiib log hai.nsuuraj kii raushnii ke taleKHud apne-aap ko pahchaan bhii rahe hai.naurlabo.n pe da.avaa-e-inkaar-e-aaftaab bhii haiajiib log hai.nsuuraj ke nuur-KHaane me.nkiraa.e-daar bhii hai.naur sar-niguu.n nahii.n hai.n
terii zamiin pe to abkachre ke Dher serizq nahii.n insaanii khilaune milte hai.nzaalimo.n ne mushke.n kas lii.naur terii daraaz rassiyo.n nehazaaro.n iisaa masluub kar diyeterii tevrii me.n bal pa.Dtaa hai tozamiin taish me.n thuuthnii hilaatii haiaur aasmaan saarii raatus pe bhuu.nktaa rahtaa hai
tirii palke.n tirii aa.nkhe.n tire abruu kii lachaktirii qaamat kii daraazii tirii zulfo.n kii mahaktire altaaf kaa aalam tirii qurbat kaa jamaaltire ho.nTo.n kii KHamoshii tirii aa.nkho.n ke savaalik chamaktaa hu.aa sho.ala tiraa rangiin badanik ta.Daptii hu.ii bijlii tirii aa.nkho.n kii kiranek taptaa hu.aa sahraa tirii duurii kaa KHayaalek mahkaa hu.aa gulshan hai tiraa roz-e-visaalek cha.Dhtaa hu.aa dariyaa hai tuu ik bahtii naavtere siine kaa tamavvuj tire qaamat kaa bahaa.otire andaaz kaa jaaduu tire ishvo.n kaa fusuu.nsab ke sab ban ga.e mere liye saamaan-e-junuu.ntere aGmaaz me.n pinhaa.n hai mohabbat kii jhalaklab-e-iqraar pe inkaar kaa pahra kab takchhi.D ga.ii hai jo kabhii pairahan-e-chust kii baatphir ga.ii hai mirii aa.nkho.n me.n shaguufe kii zaatmere har ek ishaare ko samajhne vaalaaqulzum-e-vaqt ke dhaare ko samajhne vaalaamere har naaz ko aa.nkho.n pe biThaayaa tuu nemere andaaz ko siine se lagaayaa tuu nemere atvaar ke saa.nche me.n ba-sad-shauq Dhalaaaatish-e-Gam me.n mire vaaste chup-chaap jalaamerii KHaatir Gam-e-duurii bhii gavaaraa hai tujhemere iKHlaas kaa duniyaa me.n sahaaraa hai tujhemerii har baat hai tere liye qaanuun-e-hayaatteraa mehvar hai zamaane me.n faqat merii zaataisaa ma.asuum ko.ii aur zamaane me.n kahaa.nitnii sachchaa.ii kisii aur fasaane me.n kahaa.n
in ko na lift sher kii devii ne dii kabhiimilne ga.e jo ye to vo parde me.n jaa chhupiiallah re in kii dast-daraazii kii barhamiisaa.Dii adab kii saat jagah se hai phaa.D diinaqqaad in ko kahte hai.n ye bhii hai.n aadmii
vo kahte hai.n kal martaa ho to aaj hii mar jaa.emarne se magar pahle idhar tax vo dhar jaa.emil jaa.e tire kuuche me.n rahne ko agar jaa.emarne ke liye KHuld me.n phir kaun bashar jaa.eham sabz qadam aap ko samjhe.nge chachaa jabviiraana nazar aa.e jidhar apnii nazar jaa.esab vaqto.n se achchhaa hai Ganiimat hai vahii vaqtjo vaqt ke ha.ns-bol ke yaaro.n me.n guzar jaa.ekyaa KHaak vo phir qaafila pahu.nche sar-e-manziljab qaafila-saalaar hii raste me.n guzar jaa.eis kaan suno baat to us kaan u.Daa doye kaam kii hai baat idhar aa.e udhar jaa.eham saf.ha-e-hastii pe rahe is tarah baaqiitafriiq me.n jis tarh sifar me.n se sifar jaa.efitne hai.n bapaa kuucha-e-jaanaa.n me.n Gazab kemumkin nahii.n kuuche se salaamat jo guzar jaa.erozii ke liye phirte hai.n ham saare jahaa.n me.njis shaKHs ko rozii na mile phir vo kidhar jaa.eummiid ke rishte kii daraazii rahe kab takmiqraaz-e-ajal jaama-e-hastii na kutar jaa.evo rashk-e-qamar shab ko jahaa.n jalvaa-fazaa hous raat ke raushan ke liye nuur-e-sahar jaa.ekahte hai.n vo tan tan ke ki ham sar ke hai.n shaidaaham sar ko na chho.De.nge agar tan se ye sar jaa.eis rang kaa 'ismat' hai tiraa rang-e-taGazzulkaano.n me.n idhar pahu.nche udhar dil me.n utar jaa.e
apne bistar pe bahut der se mai.n niim-daraazsochtii thii ki vo is vaqt kahaa.n par hogaamai.n yahaa.n huu.n magar us kuucha-e-ra.ng-o-buu me.nroz kii tarah se vo aaj bhii aayaa hogaaaur jab us ne vahaa.n mujh ko na paayaa hogaa!?
ye kis tarah yaad aa rahii ho ye KHvaab kaisaa dikhaa rahii hoki jaise sach-much nigaah ke saamne kha.Dii muskuraa rahii hoye jism-e-naazuk, ye narm baahe.n, hasiin gardan, siDaul baazuushagufta chehra, salonii ra.ngat, ghaneraa juu.Daa, siyaah gesuunashiilii aa.nkhe.n, rasiilii chitvan, daraaz palke.n, mahiin abruutamaam shoKHii, tamaam bijlii, tamaam mastii, tamaam jaaduuhazaaro.n jaaduu jagaa rahii hoye KHvaab kaisaa dikhaa rahii ho
guzar ga.e ka.ii mausam ka.ii rute.n badlii.nudaas tum bhii ho yaaro udaas ham bhii hai.nfaqat tumhii.n ko nahii.n ra.nj-e-chaak-daamaaniiki sach kahe.n to dariida-libaas ham bhii hai.n
subah subah ik KHvaab kii dastak par darvaaza khulaa' dekhaasarhad ke us paar se kuchh mehmaan aa.e hai.naa.nkho.n se maanuus the saarechehre saare sune sunaa.epaa.nv dhu.e, haath dhulaa.eaa.ngan me.n aasan lagvaa.eaur tannuur pe makkii ke kuchh moTe moTe roT pakaa.epoTlii me.n mehmaan mirepichhle saalo.n kii faslo.n kaa gu.D laa.e the
mai.n ne us se ye kahaaye jo das karo.D hai.njahl kaa nicho.D hai.nun kii fikr so ga.iihar umiid kii kiranzulmato.n me.n kho ga.iiye KHabar durust haiun kii maut ho ga.iibe-shu.uur log hai.nzindagii kaa rog hai.naur tere paas haiun ke dard kii davaamai.n ne us se ye kahaatuu KHudaa kaa nuur haiaql hai shu.uur haiqaum tere saath haitere hii vajuud semulk kii najaat haituu hai mahr-e-sub.h-e-nautere baa'd raat haibolte jo chand hai.nsab ye shar-pasand hai.nun kii khii.nch le zabaa.nun kaa gho.nT de galaamai.n ne us se ye kahaajin ko thaa zabaa.n pe naazchup hai.n vo zabaa.n-daraazchain hai samaaj me.nbe-misaal farq haikal me.n aur aaj me.napne KHarch par hai.n qaidlog tere raaj me.naadmii hai vo ba.Daadar pe jo rahe pa.Daajo panaah maa.ng leus kii baKHsh de KHataa
aaj har sur se har ik raag kaa naataa TuuTaaDhuu.nDtii phirtii hai mutrib ko phir us kii aavaazjoshish-e-dard se majnuu.n ke garebaa.n kii tarahchaak-dar-chaak hu.aa aaj har ik parda-e-saazaaj har mauj-e-havaa se hai savaalii KHilqatlaa ko.ii naGma ko.ii saut tirii umr daraaznauha-e-Gam hii sahii shor-e-shahaadat hii sahiisuur-e-mahshar hii sahii baa.ng-e-qayaamat hii sahii
zindagii ke jitne darvaaze hai.n mujh pe band hai.ndekhnaa hadd-e-nazar se aage ba.Dh kar dekhnaa bhii jurm haisochnaa apne aqiido.n aur yaqiino.n se nikal kar sochnaa bhii jurm haiaasmaa.n-dar-aasmaa.n asraar kii parte.n haTaa kar jhaa.nknaa bhii jurm haikyuu.n bhii kahnaa jurm hai kaise bhii kahnaa jurm haisaa.ns lene kii to aazaadii mayassar hai magarzinda rahne ke liye insaan ko kuchh aur bhii darkaar haiaur is kuchh aur bhii kaa tazkira bhii jurm haiai KHudaavandaan-e-aivaan-e-aqaa.edai hunar-mandaan-e-aa.iin-o-siyaasatzindagii ke naam par bas ik inaayat chaahiyemujh ko in saare jaraa.em kii ijaazat chaahiye
sochaa na thaa ki aa.egaa ye din bhii phir kabhiiik baar phir mile hai.n, zaraa muskuraa to le.n!kyaa jaane ab na ulfat-e-deriina yaad aa.eis husn-e-iKHtiyaar pe aa.nkhe.n jhukaa to le.nbarsaa labo.n se phuul tirii umar ho daraazsambhle hu.e to hai.n pa zaraa Dagmagaa to le.n
vo jis kii diid me.n laakho.n masarrate.n pinhaa.nvo husn jis kii tamannaa me.n jannate.n pinhaa.nhazaar fitne tah-e-paa-e-naaz KHaak-nashii.nhar ik nigaah KHumaar-e-shabaab se ra.ngii.nshabaab jis se taKHayyul pe bijliyaa.n barse.nvaqaar jis kii rafaaqat ko shoKHiyaa.n tarse.nadaa-e-laGzish-e-paa par qayaamate.n qurbaa.nbayaaz-ruKH pe sahar kii sabaahate.n qurbaa.nsiyaah zulfo.n me.n vaarafta nik.hato.n kaa hujuumtaviil raato.n kii KHvaabiida raahato.n kaa hujuumvo aa.nkh jis ke banaav pa KHaaliq itraa.ezabaan-e-sher ko taariif karte sharm aa.evo ho.nT faiz se jin ke bahaar laala-faroshbahisht o kausar o tasniim o salsabiil ba-doshgudaaz jism qabaa jis pe saj ke naaz karedaraaz qad jise sarv-e-sahii namaaz kareGaraz vo husn jo mohtaaj-e-vasf-o-naam nahii.nvo hasan jis kaa tasavvur bashar kaa kaam nahii.nkisii zamaane me.n is rah-guzar se guzraa thaaba-sad Guruur o tajammul idhar se guzraa thaaaur ab ye raah-guzar bhii hai dil-fareb o hasii.nhai is kii KHaak me.n kaif-e-sharaab-o-sher makii.nhavaa me.n shoKHii-e-raftaar kii adaa.e.n hai.nfazaa me.n narmii-e-guftaar kii sadaa.e.n hai.nGaraz vo husn ab is rah kaa juzv-e-manzar hainiyaaz-e-ishq ko ik sajda-gah mayassar hai
mai.n sochtaa huu.n ik nazm likhuu.nlekin is me.n kyaa baat kahuu.nik baat me.n bhii sau baate.n hai.nkahii.n jiite.n hai.n kahii.n maate.n hai.ndil kahtaa hai mai.n suntaa huu.nman-maane phuul yuu.n chuntaa huu.njab maat ho mujh ko chup na rahuu.naur jiit jo ho darraana kahuu.npal ke pal me.n ik nazm likhuu.nlekin is me.n kyaa baat kahuu.njab yuu.n uljhan ba.Dh jaatii haitab dhyaan kii devii aatii haiaksar to vo chup hii rahtii haikahtii hai to itnaa kahtii haikyuu.n sochte ho ik nazm likhokyuu.n apne dil kii baat kahobehtar to yahii hai chup hii raho
mere bayaa.n me.n ye jo vafuur-e-suruur haitaaq-e-suKHan-varii me.n jo ye sham-e-tuur haiye jo mire charaaG kii zau duur duur haisarkaar hii kii mauj-e-tabassum kaa nuur haishero.n me.n karvaTe.n ye nahii.n soz-o-saaz kiilahre.n hai.n ye huzuur kii zulf-e-daraaz kii
chiir ke saal me.n do baar zamii.n kaa siinadafn ho jaataa huu.ngudgudaate hai.n jo suuraj ke sunahre naaKHunphir nikal aataa huu.nab nikaltaa huu.n to itnaa ki baTore jo ko.ii daaman me.ndaaman phaT jaa.eghar ke jis kone me.n le jaa ke ko.ii rakh de mujhebhuuk vahaa.n se haT jaa.ephir mujhe piiste hai.n, guu.ndhte hai.n, se.nkte hai.nguu.ndhne se.nkne me.n shakl badal jaatii haiaur ho jaatii hai mushkil pahchaanphir bhii rahtaa huu.n kisaanvahii KHasta, bad-haalqarz ke panja-e-KHuunii.n me.n niDhaalis daraa.ntii ke tufailkuchh hai maazii se Ganiimat miraa haalhaal se hogaa hasii.n istiqbaaluThte suuraj ko zaraa dekho toho gayaa saaraa ufuq laal.n-laal
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books