SEARCH RESULTS
Showing search results for "dil-e-be-iKHtiyaar"
Sher MATCHES FOR "dil-e-be-iKHtiyaar"
Sher
kaam aaKHir jazba-e-be-iKHtiyaar aa hii gayaa
dil kuchh is suurat se ta.Dpaa un ko pyaar aa hii gayaa
Jigar Moradabadi
Sher
Siraj Aurangabadi
Sher
jazba-e-be-iKHtiyaar-e-shauq dekhaa chaahiye
siina-e-shamshiir se baahar hai dam shamshiir kaa
Mirza Ghalib
Sher
Dartaa huu.n dekh kar dil-e-be-aarzuu ko mai.n
sunsaan ghar ye kyuu.n na ho mehmaan to gayaa
Dagh Dehlvi
Sher
Afeef Siraj
Sher
ai dil-e-be-jur.at itnii bhii na kar be-jur.atii
juz sabaa us gul kaa is dam paasbaa.n ko.ii nahii.n
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
gar tujh ko hai yaqiin-e-ijaabat du.aa na maa.ng
ya.anii baGair-e-yak-dil-e-be-mudda.aa na maa.ng
Mirza Ghalib
Sher
khaTak rahii hai ko.ii shai nikaal de ko.ii
ta.Dap rahaa hai dil-e-be-qaraar siine me.n
Mubarak Azimabadi
Sher
saraapaa aarzuu hone ne banda kar diyaa ham ko
vagarna ham KHudaa the gar dil-e-be-mudda.aa hote
Meer Taqi Meer
Sher
kal jahaa.n se ki uThaa laa.e the ahbaab mujhe
le chalaa aaj vahii.n phir dil-e-be-taab mujhe
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
aamad kaa tirii jab ko.ii imkaan nahii.n hai
kab tak dil-e-be-taab yuu.nhii thaam rakhe.n ham
Khurram Khiram Siddiqui
Sher
liye phiraa jo mujhe dar-ba-dar zamaane me.n
KHayaal tujh ko dil-e-be-qaraar kis kaa thaa
Muneer Niyazi
Sher
Amjad Islam Amjad
Sher
maut aa rahii hai va.ade pe yaa aa rahe ho tum
kam ho rahaa hai dard dil-e-be-qaraar kaa
Bekhud Dehlvi
Sher
ye aa.nkhe.n ye dimaaG ye zaKHmo.n kaa ghar badan
sab mahv-e-KHvaab hai.n dil-e-be-taab ke sivaa