SEARCH RESULTS
Showing search results for "fat.h"
Sher MATCHES FOR "fat.h"
Sher
shikast o fat.h miyaa.n ittifaaq hai lekin
muqaabla to dil-e-naa-tavaa.n ne KHuub kiyaa
Navab Mohammad Yar Khan
Sher
zamiir o zehn me.n ik sard ja.ng jaarii hai
kise shikast duu.n aur kis pe fat.h paa.uu.n mai.n
Kabir Ajmal
Sher
hamaarii fat.h ke andaaz duniyaa se niraale hai.n
ki parcham kii jagah neze pe apnaa sar nikaltaa hai
Fasih Akmal
Sher
vo is kamaal se khelaa thaa ishq kii baazii
mai.n apnii fat.h samajhtaa thaa maat hone tak
Tajdar Adil
Sher
kab us kii fat.h kii KHvaahish ko jiit saktii thii
mai.n vo fariiq huu.n jis ko ki haar jaanaa thaa
Fatima Hasan
Sher
jiitne maarka-e-dil vo lagaataar gayaa
jis gha.Dii fat.h kaa ailaan hu.aa haar gayaa
Abdul Ahad Saaz
Sher
maqaam jin kaa mu.arriKH ke haafize me.n nahii.n
shikast o fat.h ke maa-bain marhale ham log
Khursheed Rizvi
Sher
ahl-e-KHirad ise na samajh paa.e.nge 'faqiih'
kuchh mas.ale hai.n maavaraa fat.h o shikast se
Ahmad Faqih
Sher
Farooq Banspari
Sher
tirii nigah se ga.e khul kivaa.D chhaatii ke
hisaar-e-qalb kii goyaa thii fat.h tere naam
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
maayuus kis liye ho parastaar-e-raah-e-haq
baatil kii fat.h hotii hai kuchh der ke liye
Divakar Rahi
Sher
Allama Iqbal
Sher
Allama Iqbal
Sher
kuchal kuchal ke na foot-paath ko chalo itnaa
yahaa.n pe raat ko mazduur KHvaab dekhte hai.n
Ahmad Salman
Sher
Asghar Gondvi
Sher
mausam-e-holii hai din aa.e hai.n rang aur raag ke
ham se tum kuchh maa.ngne aa.o bahaane phaag ke