SEARCH RESULTS
Showing search results for "gaamzan"
Sher MATCHES FOR "gaamzan"
Sher
gaamzan hai.n ham musalsal ajnabii manzil kii samt
zindagii kii aarzuu me.n zindagii khote hu.e
Ain Irfan
Sher
us manzil-e-hayaat me.n ab gaamzan hai dil
'shiblii'! jahaa.n kisii kii bhii aavaaz-e-paa nahii.n
Alqama Shibli
Sher
zamaana jin kii qayaadat me.n gaamzan thaa vo log
bhaTak ga.e tirii aa.nkho.n kii rahnumaa.ii me.n
Shehzad Anjum Burhani
Sher
baare duniyaa me.n raho Gam-zada yaa shaad raho
aisaa kuchh kar ke chalo yaa.n ki bahut yaad raho
Meer Taqi Meer
Sher
ham Gam-zada hai.n laa.e.n kahaa.n se KHushii ke giit
de.nge vahii jo paa.e.nge is zindagii se ham
Sahir Ludhianvi
Sher
lipaT bhii jaa na ruk 'akbar' Gazab kii beauty hai
nahii.n nahii.n pe na jaa ye hayaa kii duty hai
Akbar Allahabadi
Sher
Allama Iqbal
Sher
vo jis ghamanD se bichh.Daa gila to is kaa hai
ki saarii baat mohabbat me.n rakh-rakhaav kii thii
Ahmad Faraz
Sher
Gusse me.n barhamii me.n Gazab me.n itaab me.n
KHud aa ga.e hai.n vo mire KHat ke javaab me.n
Divakar Rahi
Sher
likhne ko likh rahe hai.n Gazab kii kahaaniyaa.n
likkhii na jaa sakii magar apnii hii daastaa.n
Ibn-e-Safi
Sher
yahii hai zindagii apnii yahii hai bandagii apnii
ki un kaa naam aayaa aur gardan jhuk ga.ii apnii
Mahirul Qadri
Sher
ye inaayate.n Gazab kii ye balaa kii mehrbaanii
mirii KHairiyat bhii puuchhii kisii aur kii zabaanii
Nazeer Banarasi
Sher
aa.nkho.n ko pho.D Daaluu.n yaa dil ko to.D Daaluu.n
yaa ishq kii paka.D kar gardan maro.D Daaluu.n
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Gamo.n se bair thaa so ham ne KHud-kushii kar lii
shajar giraa ke parindo.n se intiqaam liyaa