SEARCH RESULTS
Showing search results for "gard-e-safar"
Sher MATCHES FOR "gard-e-safar"
Sher
us kii galiyo.n me.n rahe gard-e-safar kii suurat
sa.ng-e-manzil na bane raah kaa patthar na hu.e
Amjad Islam Amjad
Sher
gard-e-safar ke saath thaa vaabasta intizaar
ab to kahii.n Gubaar bhii baaqii nahii.n rahaa
Syed Shakeel Desnavi
Sher
Ghulam Husain Sajid
Sher
kahii.n sadaa-e-jaras hai na gard-e-raah-e-safar
Thahar gayaa hai kahaa.n qaafila tamannaa kaa
Javed Shaheen
Sher
dam bhar agar nasiib ho fursat to po.nchh lo
peshaaniyo.n pe gard-e-safar hai musaafiro
Raqim Lakhnavi
Sher
jis raah se uThaa huu.n vahii.n baiTh jaa.uu.ngaa
mai.n kaarvaa.n kii gard-e-safar huu.n zaraa Thahar
Sher
daaman jhaTak ke vaadii-e-Gam se guzar gayaa
uTh uTh ke dekhtii rahii gard-e-safar mujhe
Ali Sardar Jafri
Sher
aage ba.Dhuu.n to zard ghaTaa mere ruu-ba-ruu
piichhe mu.Duu.n to gard-e-safar mere saamne
Zafar Iqbal
Sher
aur ba.Dh jaataa hai dil me.n mire shauq-e-manzil
jab pareshaan sii ye gard-e-safar hotii hai
Raghib Dehlvi
Sher
Aitbar Sajid
Sher
ek aavaaz to guu.njii thii ufuq-taa-ba-ufuq
kaarvaa.n gum hai kahaa.n gard-e-safar se puuchho
Anwar Moazzam
Sher
Ahsan Shafiq
Sher
har samt gard-e-naaqa-e-lailaa buland hai
pahu.nche jo hausla ho kisii shahsavaar kaa