SEARCH RESULTS
Showing search results for "halqa-e-ushshaaq"
Sher MATCHES FOR "halqa-e-ushshaaq"
Sher
daam-e-har-mauj me.n hai halqa-e-sad-kaam-e-naha.ng
dekhe.n kyaa guzre hai qatre pe guhar hote tak
Mirza Ghalib
Sher
zindagii ik KHvaab hai ye KHvaab kii taabiir hai
halqa-e-gesu-e-duniyaa paa.nv kii zanjiir hai
Obaidullah Siddiqui
Sher
majlis me.n mire zikr ke aate hii uThe vo
badnaami-e-ushshaaq kaa e.azaaz to dekho
Momin Khan Momin
Sher
aa shitaabii sii.n vagarna majlis-e-ushshaaq me.n
zulm hai Gam hai qayaamat hai KHaraabii ai sanam
Siraj Aurangabadi
Sher
bhuul jaa.uu.n kis tarah qisse dil-e-naKHchiir ke
hai.n nishaa.n baaqii abhii tak halqa-e-zanjiir ke
Naushad Ashhar
Sher
tere diidaar se mai.n aa.nkh uThaa.uu.n kyuu.nkar
zulf se paa-e-nazar halqa-e-zanjiir me.n hai
Barq Dehlvi
Sher
halqa-e-zanjiir se niklaa na ye paa-e-junuu.n
Gam nahii.n baahar gayaa go halqa-e-islaam se
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Iftikhar Arif
Sher
chaahiye ek mulaaqaat mahiine me.n zaruur
taazgii halqa-e-ahbaab me.n aa jaatii hai
Mahmood Ahmad Hashmi
Sher
Ashar Najmi
Sher
halqa-e-shaam-o-sahar se nahii.n jaane vaalaa
dard is diida-e-tar se nahii.n jaane vaalaa
Syed Amin Ashraf
Sher
diivaangii merii ke tahayyur me.n shab-o-roz
hai halqa-e-zanjiir se zindaa.n hama-tan-chashm
Nazeer Akbarabadi
Sher
Razi Abuzar
Sher
saj diyaa hairat-e-ushshaaq ne is but kaa makaa.n
qadd-e-aadam hai.n lage aa.ine diivaaro.n me.n