SEARCH RESULTS
Showing search results for "halqa-e-ushshaaq"
Ghazal MATCHES FOR "halqa-e-ushshaaq"
Ghazal
jo alaamat ho tire halqa-e-ushshaaq ke biich
tujh se nisbat ke liye aisaa laqab bhii ko.ii hai
Shahid Kamal
Ghazal
yaa to mirii bastii ke sabhii log hai.n andhe
yaa halqa-e-aafaaq me.n suuraj kii kamii hai
Badr-e-Alam Khan Azmi
Ghazal
dil se dimaaG o halqa-e-irfaa.n se daar tak
ham KHud ko Dhuu.nDte hu.e pahu.nche kahaa.n kahaa.n
Ibn-e-Safi
Ghazal
zamaana qissa-e-daar-o-rasan ko bhuul na jaa.e
kisii ke halqa-e-gesuu me.n vo kashish hii nahii.n
Aale Ahmad Suroor
Ghazal
in ke gesuu dil-e-ushshaaq pha.nsaane ke liye
jaa-ba-jaa halqa-e-zanjiir liye baiThe hai.n
Bedam Shah Warsi
Ghazal
daam-e-har-mauj me.n hai halqa-e-sad-kaam-e-naha.ng
dekhe.n kyaa guzre hai qatre pe guhar hote tak
Mirza Ghalib
Ghazal
mat rakhiyo gard-e-taarik-e-ushshaaq par qadam
paamaal ho na jaa.e sar-afraaz dekhnaa
Momin Khan Momin
Ghazal
lashkar-e-qalb-e-saf-e-ushshaaq me.n hai GalGala
yakka-taaz-e-aah kuu.n kis ne kiyaa hai naa-rasiid
Siraj Aurangabadi
Ghazal
surma-e-diida-e-ushshaaq hai ye ai KHuubaa.n
apne kuuche se mirii KHaak na barbaad karo
Meer Mohammadi Bedar
Ghazal
girya-e-diida-e-ushshaaq ko jab dekhe.nge
hazrat-e-nuuh ko yaad aa.egaa tuufaa.n apnaa
Hamid Husain Hamid
Ghazal
bul-havas jaama-e-uryaanii-e-ushshaaq ko dekh
tuu garebaan se kyuu.n apnaa galaa baa.ndhe hai
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
Ghazal
kahte hai.n vo sun kar KHabar-e-rehlat-e-ushshaaq
jaldii gayaa kahnaa thaa hame.n kuchh safarii se
Habeeb Moosavi
Ghazal
qubuul-e-KHaatir-e-ushshaaq ho ke rah na gayaa
tiraa fasaana mirii daastaa.n se pahle thaa
Bismil Saeedi
Ghazal
tujh bar me.n sajan jalva-numaa surKH qabaa dekh
KHuun-e-dil-e-ushshaaq ne phir josh kiyaa hai
Mirza Daood Beg
Ghazal
mar jaa.uu.n na kyuu.n rashk se jab vo tan-e-naazuk
aaGosh-e-KHam-e-halqa-e-zunnaar me.n aave
Mirza Ghalib
Ghazal
halqa-e-suud-e-ziyaa.n se ho ke begaana chalaa
be-niyaazaana thaa aayaa be-niyaazaana chalaa
Raza Jaunpuri
Ghazal
halqa-e-chashm-e-sanam likh ke ye kahtaa hai qalam
bas ki markaz se qadam apnaa na baahar hogaa
Bhartendu Harishchandra
Ghazal
kyaa binaa-e-KHaana-e-ushshaaq be-buniyaad hai
Dhal gayaa sar se mire saaya tirii diivaar kaa
Ashraf Ali Fughan
Ghazal
paayaa siyaah-baKHtii-e-ushshaaq ne bhii auj
fiiroza-e-falak pe kiyaa kunda naam-e-zulf
Abdullla Khan Mehr Lakhnavi
Ghazal
har barhaman bhii diid kaa mushtaaq hai so hai
us but ko paas-e-KHaatir-e-ushshaaq hai so hai