SEARCH RESULTS
Showing search results for "jazba-e-mashq"
Sher MATCHES FOR "jazba-e-mashq"
Sher
vo bulaate to hai.n mujh ko magar ai jazba-e-dil
shauq itnaa bhii na ba.Dh jaa.e ki jaa.e na bane
A. D. Azhar
Sher
rah-guzaar-e-ma.arifat tak ho rasaa.ii yaa na ho
jazba--e-pur-shauq kii vaaraftagii kuchh kam nahii.n
Afsar Narvi
Sher
jazba-e-be-iKHtiyaar-e-shauq dekhaa chaahiye
siina-e-shamshiir se baahar hai dam shamshiir kaa
Mirza Ghalib
Sher
al-madad ai jazba-e-zauq-e-mohabbat al-madad
ishq ne aavaaz dii be-iKHtiyaaraana mujhe
Sohail Azeemabadi
Sher
kaam aaKHir jazba-e-be-iKHtiyaar aa hii gayaa
dil kuchh is suurat se ta.Dpaa un ko pyaar aa hii gayaa
Jigar Moradabadi
Sher
jazba-e-ishq salaamat hai to inshaa-allaah
kachche dhaage se chale aa.e.nge sarkaar ba.ndhe
Insha Allah Khan Insha
Sher
ye 'ishq jazba-e-ruuhaaniyat hai maantaa huu.n
magar tuu jism kii majbuuriyaa.n bhii samjhaa kar
Meraj Naqvi
Sher
Guruur-e-husn na kar jazba-e-zuleKHaa dekh
kiyaa hai ishq ne yuusuf Gulaam aashiq kaa
Shah Naseer
Sher
chalo ki jazba-e-iz.haar chiiKH me.n to Dhalaa
kisii tarah ise aaKHir adaa bhii honaa thaa
Rajinder Manchanda Bani
Sher
kufr se ye jo munavvar mirii peshaanii hai
zaahir is se bhii miraa jazba-e-iimaanii hai
Zafar Iqbal
Sher
kyaa karishma hai mire jazba-e-aazaadii kaa
thii jo diivaar kabhii ab hai vo dar kii suurat
Akhtar Ansari Akbarabadi
Sher
Mirza Ghalib
Sher
dard-e-dil paas-e-vafaa jazba-e-iimaa.n honaa
aadmiyat hai yahii aur yahii insaa.n honaa
Chakbast Braj Narayan
Sher
Haneef Akhgar
Sher
ye jazba-e-talab to miraa mar na jaa.egaa
tum bhii agar miloge to jii bhar na jaa.egaa