SEARCH RESULTS
Showing search results for "khajuuro.n"
Sher MATCHES FOR "khajuuro.n"
Sher
roz ham jaltii hu.ii ret pe chalte hii na the
ham ne saa.e me.n khajuuro.n ke bhii aaraam kiyaa
Ambar Bahraichi
Sher
saaya hai kam khajuur ke uu.nche daraKHt kaa
ummiid baa.ndhiye na ba.De aadmii ke saath
Kaif Bhopali
Sher
kuchh KHabro.n se itnii vahshat hotii hai
haatho.n se aKHbaar ulajhne lagte hai.n
Bharat Bhushan Pant
Sher
KHaaro.n se ye kah do ki gul-e-tar se na uljhe.n
siikhe ko.ii andaaz-e-shariifaana hamaaraa
Shad Azimabadi
Sher
rahnaa tum chaahe jahaa.n KHabro.n me.n aate rahnaa
ham ko ehsaas-e-judaa.ii se bachaate rahnaa
Wamiq Jaunpuri
Sher
mahsuus kar rahaa huu.n KHaaro.n me.n qaid KHushbuu
aa.nkho.n ko terii jaanib ik baar kar liyaa hai
Ameer Imam
Sher
gul hii kabhii to muntaKHab-e-rozgaar thaa
KHaaro.n pe ab to aayaa hai mausam bahaar kaa