SEARCH RESULTS
Showing search results for "kharaab"
Sher MATCHES FOR "kharaab"
Sher
ro.e.n na abhii ahl-e-nazar haal pe mere
honaa hai abhii mujh ko KHaraab aur ziyaada
Asrarul Haq Majaz
Sher
ahl-e-havas to KHair havas me.n hu.e zaliil
vo bhii hu.e KHaraab, mohabbat jinho.n ne kii
Ahmad Mushtaq
Sher
kyaa hai jo ho gayaa huu.n mai.n tho.Daa bahut KHaraab
tho.Daa bahut KHaraab to honaa bhii chaahiye
Jawad Sheikh
Sher
vo jis ko mai.n samajhtaa rahaa kaamyaab din
vo din thaa merii umr kaa sab se KHaraab din
Muneer Niyazi
Sher
asiir-e-panja-e-ahd-e-shabaab kar ke mujhe
kahaa.n gayaa miraa bachpan KHaraab kar ke mujhe
Muztar Khairabadi
Sher
dil KHush hu.aa hai masjid-e-viiraa.n ko dekh kar
merii tarah KHudaa kaa bhii KHaana KHaraab hai
Abdul Hamid Adam
Sher
zamiin itnii nahii.n hai ki paa.nv rakh paa.e.n
dil-e-KHaraab kii zid hai ki ghar banaayaa jaa.e
Tariq Naeem
Sher
Abdul Hamid Adam
Sher
jis kaam ko jahaa.n me.n tuu aayaa thaa ai 'naziir'
KHaana-KHaraab tujh se vahii kaam rah gayaa
Nazeer Akbarabadi
Sher
duniyaa bahut KHaraab hai jaa-e-guzar nahii.n
bistar uThaa.o rahne ke qaabil ye ghar nahii.n
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
Saleem Kausar
Sher
bahut hasiin hai doshiizgii-e-husn magar
ab aa ga.e ho to aa.o tumhe.n KHaraab kare.n