SEARCH RESULTS
Showing search results for "kharaabaat"
Sher MATCHES FOR "kharaabaat"
Sher
vo ahd-e-javaanii vo KHaraabaat kaa aalam
naGmaat me.n Duubii hu.ii barsaat kaa aalam
Abdul Hamid Adam
Sher
vaa hote hai.n mastii me.n KHaraabaat ke asraar
rindii miraa iimaan hai mastii hai miraa farz
Sahir Dehlavi
Sher
aatish-e-mast jo mil jaa.e to puuchhuu.n us se
tuu ne kaifiyyat uThaa.ii hai KHaraabaat me.n kyaa
Haidar Ali Aatish
Sher
kabhii masjid me.n jo vaa.iz kaa bayaa.n suntaa huu.n
yaad aatii hai mujhe piir-e-KHaraabaat kii baat
Hafeez Jaunpuri
Sher
naa-umiid ahl-e-KHaraabaat nahii.n rahmat se
baKHsh degaa vo kariim apne gunaahgaaro.n ko
Mardan Ali Khan Rana
Sher
aisii aabaad tirii bazm hai ai jaan-e-nashaat
jaisii ka.abe kii sahar jaisii KHaraabaat kii raat
Ijtiba Rizvi
Sher
zaahid ko ham ne dekh KHaraabaat me.n kahaa
masjid ko apnii chho.D kaho tum yahaa.n kahaa.n
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
raunaq-e-baada-parastii thii hamii.n tak jab se
ham ne kii tauba kahii.n naam-e-KHaraabaat nahii.n
Qayem Chaandpuri
Sher
Dhuu.nD uj.De hu.e logo.n me.n vafaa ke motii
ye KHazaane tujhe mumkin hai KHaraabo.n me.n mile.n
Ahmad Faraz
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
daaman pe ko.ii chhii.nT na KHanjar pe ko.ii daaG
tum qatl karo ho ki karaamaat karo ho
Kaleem Aajiz
Sher
kyaa hai jo ho gayaa huu.n mai.n tho.Daa bahut KHaraab
tho.Daa bahut KHaraab to honaa bhii chaahiye
Jawad Sheikh
Sher
haath duniyaa kaa bhii hai dil kii KHaraabii me.n bahut
phir bhii ai dost tirii ek nazar se kam hai
Idris Babar
Sher
e'tibaar-e-ishq kii KHaana-KHaraabii dekhnaa
Gair ne kii aah lekin vo KHafaa mujh par hu.aa
Mirza Ghalib
Sher
hamesha aag ke dariyaa me.n ishq kyuu.n utre
kabhii to husn ko Garq-e-azaab honaa thaa
Karamat Ali Karamat
Sher
duniyaa bahut KHaraab hai jaa-e-guzar nahii.n
bistar uThaa.o rahne ke qaabil ye ghar nahii.n