SEARCH RESULTS
Showing search results for "maanind"
Sher MATCHES FOR "maanind"
Sher
Ahmad Nadeem Qasmi
Sher
ahmiyat kaa mujhe apnii bhii to andaaza hai
tum ga.e vaqt kii maanind ga.nvaa do mujh ko
Aziz Bano Darab Wafa
Sher
vo KHaar KHaar hai shaaKH-e-gulaab kii maanind
mai.n zaKHm zaKHm huu.n phir bhii gale lagaa.uu.n use
Ahmad Faraz
Sher
Ahmad Faraz
Sher
manzile.n gard ke maanind u.Dii jaatii hai.n
vahii andaaz-e-jahaan-e-guzaraa.n hai ki jo thaa
Firaq Gorakhpuri
Sher
u.D jaa.uu.ngaa bahaar me.n maanind-e-buu-e-gul
zanjiir mere paa-e-junuu.n me.n hazaar Daal
Raunaq Tonkvi
Sher
tuu phuul kii maanind na shabnam kii tarah aa
ab ke kisii be-naam se mausam kii tarah aa
Fana Nizami Kanpuri
Sher
charaaG le ke use Dhuu.nDne chalaa huu.n mai.n
jo aaftaab kii maanind ik ujaalaa hai
Akhtar Saeed Khan
Sher
phir aa.ii fasl ki maanind barg-e-aavaara
hamaare naam gulo.n ke muraaslaat chale
Majrooh Sultanpuri
Sher
Fariha Naqvi
Sher
Hilal Fareed
Sher
ham bhii hai.n kisii kahf ke as.haab ke maanind
aisaa na ho jab aa.nkh khule vaqt guzar jaa.e
Himayat Ali Shayar
Sher
zaat me.n jis kii ho Thahraav zamii.n kii maanind
fikr me.n us kii samundar kii sii vus.at hogii
Aleena Itrat
Sher
kap.De gale ke mere na ho.n aab-diida kyuu.n
maanind-e-abr diida-e-tar ab to chhaa gayaa
Meer Taqi Meer
Sher
ham bhii in bachcho.n kii maanind ko.ii pal jii le.n
ek sikka jo hathelii pe sajaa laate hai.n
Kafeel Aazar Amrohvi
Sher
kyaa jaane shaaKH-e-vaqt se kis vaqt gir pa.Duu.n
maanind-e-barg-e-zard abhii Doltaa huu.n mai.n
Imran-ul-haq Chauhan
Sher
aab-e-hayaat jaa ke kisuu ne piyaa to kyaa
maanind-e-KHizr jag me.n akelaa jiyaa to kyaa