SEARCH RESULTS
Showing search results for "maanind"
MOST RELEVANT MATCHES FOR "maanind"
Ghazal
sunaa hai us ke shabistaa.n se muttasil hai bahisht
makii.n udhar ke bhii jalve idhar ke dekhte hai.n
Ahmad Faraz
Ghazal
vo KHaar KHaar hai shaaKH-e-gulaab kii maanind
mai.n zaKHm zaKHm huu.n phir bhii gale lagaa.uu.n use
Ahmad Faraz
Ghazal
kuchh to mire pindaar-e-mohabbat kaa bharam rakh
tuu bhii to kabhii mujh ko manaane ke liye aa
Ahmad Faraz
PAGE MATCHES FOR "maanind"
MORE MATCHES FOR "maanind"
Ghazal
ab tire shahr me.n aa.uu.ngaa musaafir kii tarah
saya-e-abr kii maanind guzar jaa.uu.ngaa
Ahmad Nadeem Qasmi
Ghazal
ushshaaq ke maanind ka.ii ahl-e-havas bhii
paagal to nazar aate hai.n paagal nahii.n hote
Ahmad Faraz
Ghazal
tum bhii ho biite vaqt ke maanind huu-ba-huu
tum ne bhii yaad aanaa hai aanaa to hai nahii.n
Rehman Faris
Ghazal
yaa haatho.n haath lo mujhe maanind-e-jaam-e-mai
yaa tho.Dii duur saath chalo mai.n nashe me.n huu.n
Meer Taqi Meer
Ghazal
tuu bhii KHushbuu hai magar meraa tajassus bekaar
barg-e-aavaara kii maanind Thikaane mere
Ahmad Faraz
Marsiya
maanind-e-kahrubaa hai ruKH-e-aaftaab-e-zard
hai ruu-kash-e-fazaa-e-iram vaadi-e-nabard
Meer Anees
Nazm
hasan kuza-gar (1)
vo ham se KHud apne amal se
KHudaa-vand ban kar KHudaa.o.n ke maanind hai ruu-e-gardaa.n!
Noon Meem Rashid
Ghazal
ishq-peche kii tarah husn-e-giraftaarii hai
lutf kyaa sarv kii maanind gar aazaad raho