SEARCH RESULTS
Showing search results for "maanind"
Ghazal MATCHES FOR "maanind"
Ghazal
sunaa hai us ke shabistaa.n se muttasil hai bahisht
makii.n udhar ke bhii jalve idhar ke dekhte hai.n
Ahmad Faraz
Ghazal
vo KHaar KHaar hai shaaKH-e-gulaab kii maanind
mai.n zaKHm zaKHm huu.n phir bhii gale lagaa.uu.n use
Ahmad Faraz
Ghazal
kuchh to mire pindaar-e-mohabbat kaa bharam rakh
tuu bhii to kabhii mujh ko manaane ke liye aa
Ahmad Faraz
Ghazal
maanind-e-KHaama terii zabaa.n par hai harf-e-Gair
begaana shai pe naazish-e-bejaa bhii chho.D de
Allama Iqbal
Ghazal
Ahmad Faraz
Ghazal
ab tire shahr me.n aa.uu.ngaa musaafir kii tarah
saya-e-abr kii maanind guzar jaa.uu.ngaa
Ahmad Nadeem Qasmi
Ghazal
ushshaaq ke maanind ka.ii ahl-e-havas bhii
paagal to nazar aate hai.n paagal nahii.n hote
Ahmad Faraz
Ghazal
tum bhii ho biite vaqt ke maanind huu-ba-huu
tum ne bhii yaad aanaa hai aanaa to hai nahii.n
Rehman Faris
Ghazal
yaa haatho.n haath lo mujhe maanind-e-jaam-e-mai
yaa tho.Dii duur saath chalo mai.n nashe me.n huu.n
Meer Taqi Meer
Ghazal
tuu bhii KHushbuu hai magar meraa tajassus bekaar
barg-e-aavaara kii maanind Thikaane mere
Ahmad Faraz
Ghazal
ishq-peche kii tarah husn-e-giraftaarii hai
lutf kyaa sarv kii maanind gar aazaad raho
Meer Taqi Meer
Ghazal
phir aa.ii fasl ki maanind barg-e-aavaara
hamaare naam gulo.n ke muraaslaat chale
Majrooh Sultanpuri
Ghazal
vo kapkapaate hu.e ho.nT mere shaane par
vo KHvaab saa.np kii maanind Das gayaa mujh ko
Ahmad Faraz
Ghazal
ujaale baa.nTne vaalo.n pe kyaa guzartii hai
kisii charaaG kii maanind jal ke dekhuu.ngaa
Rahat Indori
Ghazal
firdaus jo teraa hai kisii ne nahii.n dekhaa
afra.ng kaa har qarya hai firdaus kii maanind
Allama Iqbal
Ghazal
jism kaa bojh uThaa.e hu.e chalte rahiye
dhuup me.n barf kii maanind pighalte rahiye