SEARCH RESULTS
Showing search results for "mizha-haa-e-daraaz"
Sher MATCHES FOR "mizha-haa-e-daraaz"
Sher
kahtii hai ai 'riyaaz' daraazii ye riish kii
TaTTii kii aa.D me.n hai mazaa kuchh shikaar kaa
Riyaz Khairabadi
Sher
in kii mizha hai ka.aba-e-abruu me.n mo.atakif
khii.nchaa kabhii na tiir ne chilla kamaan me.n
Wazir Ali Saba Lakhnavi
Sher
shab-e-daraaz kaa hai qissa muKHtasar 'kaifii'
hu.ii sahar ke ujaalo.n me.n gum charaaG kii lau
Haneef Kaifi
Sher
uljhaa hai paa.nv yaar kaa zulf-e-daraaz me.n
lo aap apne daam me.n sayyaad aa gayaa
Momin Khan Momin
Sher
le chalii hai jo dil to zulf-e-daraaz
gaa.nTh me.n baa.ndh liijo kas kar dil
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
tamaam umr jise aab-e-talKH se sii.nchaa
ab us shajar kaa ko.ii phal kahaa.n se miiThaa ho
Syed Safi Hasan
Sher
bismilo.n se bosa-e-lab kaa jo va.ada ho gayaa
KHud-ba-KHud har zaKHm kaa anguur miiThaa ho gayaa
Muneer Shikohabadi
Sher
diivaangii ke silsila kaa ho.e jo muriid
us gesuu-e-daraaz sivaa piir hii nahii.n
Waliullah Muhib
Sher
sab munajjam kahte hai.n ab hai baraabar raat din
sar se paa tak dekh kar zulf-e-daraaz-e-yaar ko
Khwaja Mohammad Wazir
Sher
muhtaaj nahii.n qaafila aavaaz-e-daraa kaa
siidhii hai rah-e-but-kada ehsaan KHudaa kaa
Syed Yusuf Ali Khan Nazim
Sher
le qais KHabar mahmil-e-lailaa to na hove
is dasht se aatii hai kuchh aavaaz-e-daraa garm
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
chhalakne lage ashk-e-gulguu.n mizha se
phir aa.ii hai fasl-e-bahaar garebaa.n
Shaikh Qudratullah Qudrat
Sher
KHudaa daraaz kare umr charKH-e-niilii kii
ye bekaso.n ke mazaaro.n kaa shaamiyaana hai