SEARCH RESULTS
Showing search results for "naazish-e-himaat-e-mardaana"
Sher MATCHES FOR "naazish-e-himaat-e-mardaana"
Sher
talab duniyaa ko kar ke zan-muriidii ho nahii.n saktii
KHayaal-e-aabruu-e-himmat-e-mardaana aataa hai
Haidar Ali Aatish
Sher
Nazish Partap Gadhi
Sher
mahfil-e-ishq me.n vo naazish-e-dauraa.n aayaa
ai gadaa KHvaab se bedaar ki sultaa.n aayaa
Josh Malihabadi
Sher
ahl-e-himmat ko balaa.o.n pe ha.nsii aatii hai
na.ng-e-hastii hai musiibat me.n pareshaa.n honaa
Sikandar Ali Wajd
Sher
mushkil kaa saamnaa ho to himmat na haariye
himmat hai shart saahib-e-himmat se kyaa na ho
Imdad Imam Asar
Sher
nisyah-o-naqd-e-do-aalam kii haqiiqat maaluum
le liyaa mujh se mirii himmat-e-aalii ne mujhe
Mirza Ghalib
Sher
phailaa fazaa me.n naGma-e-zanjiir-e-marhabaa
zindaa.n me.n ghuT ke rah na sakii zindagii kii baat
Payam Fatehpuri
Sher
ye naqsh-e-KHushnumaa dar-asl naqsh-e-aajizii hai
ki asl-e-husn to andesha-e-bahzaad me.n hai
Zulfeqar Ahmad Tabish
Sher
tujhe naqsh-e-hastii miTaayaa to dekhaa
jo parda thaa haa.il uThaayaa to dekhaa
Mamnoon Nizamuddin
Sher
aa.ndhii chalii to naqsh-e-kaf-e-paa nahii.n milaa
dil jis se mil gayaa vo dobaaraa nahii.n milaa
Mustafa Zaidi
Sher
naqsh-e-KHayaal dil se miTaayaa nahii.n hanuuz
be-dard mai.n ne tujh ko bhulaayaa nahii.n hanuuz
Josh Malihabadi
Sher
hai lahuu shahiido.n kaa naqsh-e-jaavedaa.n yaaro
maqtalo.n me.n hotii hai aaj bhii azaa.n yaaro