SEARCH RESULTS
Showing search results for "naqsha"
Sher MATCHES FOR "naqsha"
Sher
naqsha uThaa ke ko.ii nayaa shahr Dhuu.nDhiye
is shahr me.n to sab se mulaaqaat ho ga.ii
Nida Fazli
Sher
shahr kii is bhii.D me.n chal to rahaa huu.n
zehn me.n par gaa.nv kaa naqsha rakhaa hai
Tahir Azeem
Sher
sunaa hai shahr kaa naqsha badal gayaa 'mahfuuz'
to chal ke ham bhii zaraa apne ghar ko dekhte hai.n
Ahmad Mahfuz
Sher
Bahadur Shah Zafar
Sher
Agha Hajju Sharaf
Sher
raat bhar un kaa tasavvur dil ko ta.Dpaataa rahaa
ek naqsha saamne aataa rahaa jaataa rahaa
Akhtar Shirani
Sher
faqiir log rahe apne apne haal me.n mast
nahii.n to shahr kaa naqsha badal chukaa hotaa
Nomaan Shauque
Sher
puraane ghar kii shikasta chhato.n se uktaa kar
na.e makaan kaa naqsha banaataa rahtaa huu.n
Asad Badayuni
Sher
is shahar me.n KHvaabo.n kii imaarat nahii.n bantii
behtar hai ki ta.amiir kaa naqsha hii badal lo
Nafas Ambalvi
Sher
kam nahii.n jalvagarii me.n, tire kuuche se bahisht
yahii naqsha hai vale is qadar aabaad nahii.n
Mirza Ghalib
Sher
Ameer Minai
Sher
ajab mushkil hai kyaa kahiye baGair-az-jaan dene ke
ko.ii naqsha nazar aataa nahii.n aasaan milne kaa
Nazeer Akbarabadi
Sher
dekhne vaale ye kahte hai.n kitaab-e-dahr me.n
tuu saraapaa husn kaa naqsha hai mai.n tasviir-e-ishq
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
puuchho ki us ke zehn me.n naqsha bhii hai ko.ii
jis ne bhare jahaan ko zer-o-zabar kiyaa
Nomaan Shauque
Sher
naqsha hai un kii chashm me.n lailaa kii chashm kaa
majnuu.n ho shaad kyuu.n na Gazaalo.n ko dekh kar
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Ameeq Hanafi
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
dil-kashii tere tasavvur kii rahii roz-afzuu.n
baahamii rabt kaa har chand vo naqsha na rahaa