SEARCH RESULTS
Showing search results for "nigah-e-mast"
Sher MATCHES FOR "nigah-e-mast"
Sher
nigaah-e-mast ne us kii luTaa.ii KHaanqa saarii
pa.Daa hai barham ab tak kaarKHaana zohd-o-taa.at kaa
Meer Taqi Meer
Sher
dil kyaa nigaah-e-mast se mai-KHaana ban gayaa
mazmuun-e-aashiqaana bhii rindaana ban gayaa
Mirza Mayal Dehlvi
Sher
ai nigaah-e-mast us kaa naam hai kaif-e-suruur
aaj tuu ne dekh kar merii taraf dekhaa mujhe
Natiq Gulavthi
Sher
pa.D ga.ii kyaa nigah-e-mast tire saaqii kii
la.Dkha.Daate hu.e mai-KHvaar chale aate hai.n
Taashshuq Lakhnavi
Sher
le u.Dii ghuu.nghaT ke andar se nigaah-e-mast hosh
aaj saaqii ne pilaa.ii hai hame.n chhaanii hu.ii
Unknown
Sher
KHaraab rahte the masjid ke aage mai-KHaane
nigaah-e-mast ne saaqii kii intiqaam liyaa
Meer Taqi Meer
Sher
adaa adaa tirii mauj-e-sharaab ho ke rahii
nigaah-e-mast se duniyaa KHaraab ho ke rahii
Jaleel Manikpuri
Sher
S A Mehdi
Sher
rusvaa agar na karnaa thaa aalam me.n yuu.n mujhe
aisii nigaah-e-naaz se dekhaa thaa kyuu.n mujhe
Mazhar Mirza Jaan-e-Janaan
Sher
shah dil ko mil ga.ii hai phir un kii nigaah se
phir shauq Dhuu.nDhtaa hai dil-o-jaa.n na.e na.e
Syeda Shan-e-Meraj
Sher
chashm-e-mast us kii yaad aane lagii
phir zabaa.n merii la.Dkha.Daane lagii
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
Sher
goggle lagaa ke aa.nkh par chalne lage hasiin
vo lutf ab kahaa.n nigah-e-niim-baaz kaa
Hashim Azimabadi
Sher
Dore nahii.n hai.n surKH tirii chashm-e-mast me.n
shaayad cha.Dhaa hai KHuun kisii be-gunaah kaa
Siraj Aurangabadi
Sher
kal bazm me.n sab par nigah-e-lutf-o-karam thii
ik merii taraf tuu ne sitamgaar na dekhaa
Shaikh Mohammad Roshan Joshish Lakhnavi
Sher
Dattatriya Kaifi
Sher
diidaar-e-zul-jalaal pe aamaada ho gayaa
kyaa hausla nigaah-e-dil-e-naa-tavaa.n kaa thaa