SEARCH RESULTS
Showing search results for "poshiida"
Sher MATCHES FOR "poshiida"
Sher
Saqi Faruqi
Sher
KHud ko poshiida na rakkho band kaliyo.n kii tarah
phuul kahte hai.n tumhe.n sab log to mahkaa karo
Manzar Bhopali
Sher
mizaaj alag sahii ham dono.n kyuu.n alag ho.n ki hai.n
saraab o aab me.n poshiida qurbate.n kyaa kyaa
Fuzail Jafri
Sher
chalaa mai.n jaanib-e-manzil to ye hu.aa ma.aluum
yaqii.n gumaan me.n gum hai gumaa.n hai poshiida
Anwar Sadeed
Sher
Aziz Nabeel
Sher
poshiida raaz-e-ishq chalaa jaa.e thaa sau aaj
be-taaqatii ne dil kii vo parda uThaa diyaa
Meer Taqi Meer
Sher
mahfil mere dam se mahfil phir bhii mujh me.n
ek bhayaanak tanhaa.ii bhii poshiida hai
Zia Zameer
Sher
Anwari Jahan Begum Hijab
Sher
dil ke andar yuu.n chhupaa rakkhaa hai ik teraa KHayaal
jaise ik biij me.n poshiida shajar rahtaa hai
Dr. Yasin Aatir
Sher
mai.n ne kal to.Daa ik aa.iina to mahsuus hu.aa
is me.n poshiida ko.ii chiiz thii jauhar jaisii
Abrar Azmi
Sher
Wali Dakni
Sher
har ek lafz me.n poshiida ik alaa.o na rakh
hai dostii to takalluf kaa rakh-rakhaa.o na rakh
Farooq Shamim
Sher
pata kaise ho.n aaKHir hijr ke asbaab duniyaa ko
tire ho.nTo.n pe KHaamoshii mire haalaat poshiida
Aadil Rahi
Sher
aise ha.ns ha.ns ke na dekhaa karo sab kii jaanib
log aisii hii adaa.o.n pe fidaa hote hai.n
Majrooh Sultanpuri
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
misl-e-parvaana fidaa har ek kaa dil ho gayaa
yaar jis mahfil me.n baiThaa sham-e-mahfil ho gayaa
Jaleel Manikpuri
Sher
na puuchho ham-safaro mujh se maajraa-e-vatan
vatan hai mujh pe fidaa aur mai.n fidaa-e-vatan