SEARCH RESULTS
Showing search results for "raaz-e-ishq"
Sher MATCHES FOR "raaz-e-ishq"
Sher
Mirza Ghalib
Sher
ifshaa-e-raaz-e-ishq me.n go zillate.n hu.ii.n
lekin use jataa to diyaa jaan to gayaa
Dagh Dehlvi
Sher
siine me.n raaz-e-ishq chhupaayaa na jaa.egaa
ye aag vo hai jis ko dabaayaa na jaa.egaa
Hameed Jalandhari
Sher
poshiida raaz-e-ishq chalaa jaa.e thaa sau aaj
be-taaqatii ne dil kii vo parda uThaa diyaa
Meer Taqi Meer
Sher
dil kaun hai ki us se kahe.n raaz-e-ishq ham
tere KHayaal se bhii na ham guftuguu kare.n
Abdul Ghafoor Nassakh
Sher
Asghar Gondvi
Sher
ai muqallid bul-havas ham se na kar daavaa-e-ishq
daaG laala kii tarah rakhte hai.n maadar-zaad ham
Ishq Aurangabadi
Sher
'ishq' raushan thaa vahaa.n diida-e-aahuu se charaaG
mai.n jo yak raat gayaa qais ke kaashaane me.n
Ishq Aurangabadi
Sher
Raaz Allahabadi
Sher
vahshat-e-dil ke KHariidaar bhii naapaid hu.e
kaun ab ishq ke baazaar me.n kholegaa dukaa.n
Ibn e Insha
Sher
Unknown
Sher
Aal-e-Raza Raza
Sher
thaa jis pe naaz kabhii ab vo aarzuu na rahii
niyaaz-e-'ishq kii pahlii sii aabruu na rahii
A. D. Azhar
Sher
jins-e-vafaa kaa dahr me.n baazaar gir gayaa
jab ishq faiz-e-husn kaa haamil nahii.n rahaa
S A Mehdi
Sher
dekhne vaale ye kahte hai.n kitaab-e-dahr me.n
tuu saraapaa husn kaa naqsha hai mai.n tasviir-e-ishq
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
tuu jo talvaar se nahlaa.e lahuu me.n mujh ko
Gusl-e-sehhat hu.aa bhii ishq kii biimaarii se
Kalb-e-husain Nadir
Sher
ye dil kab ishq ke qaabil rahaa hai
kahaa.n is ko dimaaG o dil rahaa hai