SEARCH RESULTS
Showing search results for "rauzan"
Sher MATCHES FOR "rauzan"
Sher
Afzal Minhas
Sher
Gulnar Aafreen
Sher
na.e gharo.n me.n na rauzan the aur na mehraabe.n
parinde lauT ga.e apne aashiyaa.n le kar
Zubair Rizvi
Sher
utraa thaa merii ruuh ke rauzan se jo kabhii
ghuT ghuT ke mere jism me.n marne lagaa hai vo
Anwar Minai
Sher
dar-e-umiid se ho kar nikalne lagtaa huu.n
to yaas rauzan-e-zindaa.n se aa.nkh maartii hai
Zafar Iqbal
Sher
kuu-e-jaanaa.n me.n gar ab jaa.e.n bhii to kyaa dekhe.n
ko.ii rauzan na rahaa ban ga.ii diivaar na.ii
Nizam Rampuri
Sher
aashiq ko na le jaa.e KHudaa aisii galii me.n
jhaa.nke na jahaa.n rauzan-e-diivaar se ko.ii
Munawar Khan Ghafil
Sher
kaun jaane aaj bhii karte hai.n kis kaa intizaar
ye shikasta baam-o-dar rauzan kabuutar aur mai.n
Zia Faooqui
Sher
rakh liye rauzan-e-zindaa.n pe parinde saare
jo na vaa.n rakhne the diivaan me.n rakh chho.De hai.n
Afzaal Naveed
Sher
yaa.n raKHna-haa-e-siina kuduurat se hai.n phaTe
vaa.n ho ga.e hai.n rauzan-e-diivaar-e-yaar band
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
maah kii aa.nkh jo rahtii hai lagii uudhar hii
us ne phir rauzan-e-nazzaara muqarrar kholaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
muqayyad ho na jaanaa zaat ke gumbad me.n yaaro
kisii rauzan kisii darvaaza ko vaa chho.D denaa
Ejaz Obaid
Sher
sar salaamat hai to rauzan bhii banaa luu.ngaa mai.n
habs tere dar-o-diivaar se vaaqif mai.n huu.n
Anjum Azimabadi
Sher
un ke dekhe se jo aa jaatii hai mu.nh par raunaq
vo samajhte hai.n ki biimaar kaa haal achchhaa hai
Mirza Ghalib
Sher
Shahab Jafri
Sher
kal jinhe.n chhuu nahii.n saktii thii farishto.n kii nazar
aaj vo raunaq-e-baazaar nazar aate hai.n