SEARCH RESULTS
Showing search results for "sadiq"
Sher MATCHES FOR "sadiq"
Sher
saadiq huu.n apne qaul kaa 'Gaalib' KHudaa gavaah
kahtaa huu.n sach ki jhuuT kii aadat nahii.n mujhe
Mirza Ghalib
Sher
ab apnaa intizaar rahegaa tamaam-umr
ik shaKHs thaa jo mujh se judaa kar gayaa mujhe
Ahtamam Sadiq
Sher
tundii-e-baad-e-muKHaalif se na ghabraa ai uqaab
ye to chaltii hai tujhe uu.nchaa u.Daane ke liye
Syed sadiq husain
Sher
so apne shahr ke raunaq kii KHair maa.ngnaa tum
mai.n apne gaa.nv se ik shaam le ke aa rahaa huu.n
Ahtamam Sadiq
Sher
kuchh is tarah shariik tirii anjuman me.n huu.n
mahsuus ho rahii hai KHud apnii kamii mujhe
Sadiq-ul-Qadri
Sher
tumhaaraa naam kisii ajnabii ke lab par thaa
zaraa sii baat thii dil ko magar lagii hai bahut
Sadique Naseem
Sher
Shad Azimabadi
Sher
Ahtamam Sadiq
Sher
na puuchh kaise guzartii hai zindagii ai dost
ba.Dii taviil kahaanii hai phir kabhii ai dost
Sadiq-ul-Qadri
Sher
fursat ho to ye jism bhii miTTii me.n dabaa do
lo phir mai.n zamaa.n aur makaa.n se nikal aayaa
Sadiq
Sher
ai ashk na kar zulm zaraa der Thahar jaa
ik shaKHs abhii merii nigaaho.n me.n basaa hai
Ahtamam Sadiq
Sher
jab bhii tirii qurbat ke kuchh imkaa.n nazar aa.e
ham KHush hu.e itne kii pareshaa.n nazar aa.e
Sadique Naseem
Sher
mujh ko thii mahfilo.n kii bahut aarzuu magar
tanhaa.iyo.n ke KHauf se tanhaa rahaa huu.n mai.n
Ahtamam Sadiq
Sher
merii raato.n se pare duur vo mahtaab saa jism
us ko sochuu.n to mire KHvaab bhii jal jaate hai.n
Ahtamam Sadiq
Sher
kaun saa dard utar aayaa hai tahriiro.n me.n
saare alfaaz janaaze kii tarah lagte hai.n