SEARCH RESULTS
Showing search results for "siye"
Sher MATCHES FOR "siye"
Sher
Tuk.De ka.ii ik dil ke mai.n aapas me.n siye hai.n
phir sub.h talak rone ke asbaab kiye hai.n
Qayem Chaandpuri
Sher
siye jaate hai.n kafan aap ke diivaano.n ke
taar daaman ke hai.n Tuk.De hai.n garebaano.n ke
Rasheed lakhnavi
Sher
imsaal fasl-e-gul me.n vo phir chaak ho ga.e
agle baras ke the jo garebaa.n siye hu.e
Rind Lakhnavi
Sher
shaayad is baat pe lab mere siye jaate hai.n
aah ke saath nikal jaa.e na armaa.n ko.ii
Abr Ahsani Ganauri
Sher
ham ne siine se lagaayaa dil na apnaa ban sakaa
muskuraa kar tum ne dekhaa dil tumhaaraa ho gayaa
Jigar Moradabadi
Sher
dil ke phaphuule jal uThe siine ke daaG se
is ghar ko aag lag ga.ii ghar ke charaaG se
Mahtab Rai Taban
Sher
mere siine me.n nahii.n to tere siine me.n sahii
ho kahii.n bhii aag lekin aag jalnii chaahiye
Dushyant Kumar
Sher
dafn kar saktaa huu.n siine me.n tumhaare raaz ko
aur tum chaaho to afsaana banaa saktaa huu.n mai.n
Asrarul Haq Majaz
Sher
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
aagahii karb vafaa sabr tamannaa ehsaas
mere hii siine me.n utre hai.n ye KHanjar saare
Bashir Farooqi
Sher
Shahryar
Sher
har mulaaqaat pe siine se lagaane vaale
kitne pyaare hai.n mujhe chho.D ke jaane vaale
Vipul Kumar
Sher
rail dekhii hai kabhii siine pe chalne vaalii
yaad to ho.nge tujhe haath hilaate hu.e ham
Nomaan Shauque
Sher
Arzoo Lakhnavi
Sher
na sataa.ish kii tamannaa na sile kii parvaa
gar nahii.n hai.n mire ash.aar me.n ma.anii na sahii
Mirza Ghalib
Sher
mere siine se zaraa kaan lagaa kar dekho
saa.ns chaltii hai ki zanjiir-zanii hotii hai
Abbas Tabish
Sher
siine se lagaa.e.n tumhe.n armaan yahii hai
jiine kaa mazaa hai to mirii jaan yahii hai