SEARCH RESULTS
Showing search results for "siye"
Ghazal MATCHES FOR "siye"
Ghazal
mujh ko maaluum hai sach zahr lage hai sab ko
bol saktaa huu.n magar ho.nT siye baiThaa huu.n
Qaisarul Jafri
Ghazal
jo zaKHm ko siine ke siye Taa.nke jigar ko
aisaa ko.ii ustaad rafuugar nahii.n miltaa
Rind Lakhnavi
Ghazal
ham kiye jaate hai.n taqliid-e-rivaayaat-e-junuu.n
aur KHud chaak-e-girebaa.n bhii siye jaate hai.n
Iqbal Azeem
Ghazal
zabt ne jab bhii ho.nT siye hai.n
tez hu.ii hai dil kii dha.Dkan
Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
Ghazal
Rauf Raza
Ghazal
kab talak ye dil-e-sad-paara nazar me.n rakhiye
us par aa.nkhe.n hii siye rahte hai.n dilbar kitne
Meer Taqi Meer
Ghazal
raKHna-andaazi-e-andoh se Gaafil nahii.n mai.n
hai jigar chaak to kyaa ho.nT siye baiThaa huu.n
Arzoo Lakhnavi
Ghazal
tamaam umr rahii.n zer-e-lab mulaaqaate.n
na us ne baat ba.Dhaa.ii na ham ne ho.nT siye
Shahzad Ahmad
Ghazal
imsaal fasl-e-gul me.n vo phir chaak ho ga.e
agle baras ke the jo garebaa.n siye hu.e
Rind Lakhnavi
Ghazal
kyaa zindagii hai ahl-e-gulistaa.n kii zindagii
gul ha.ns rahe hai.n chaak-e-garebaa.n siye baGair