SEARCH RESULTS
Showing search results for "taabiir-e-gurezaa.n"
Sher MATCHES FOR "taabiir-e-gurezaa.n"
Sher
sulag rahaa hai ufuq bujh rahii hai aatish-e-mahr
rumuuz-e-rabt-e-gurezaa.n khule to baat chale
Aziz Hamid Madni
Sher
Nazeer Akbarabadi
Sher
raahat kii justujuu me.n KHushii kii talaash me.n
Gam paaltii hai umr-e-gurezaa.n na.e na.e
Adeeb Saharanpuri
Sher
u.D ke jaatii hai mirii KHaak idhar gaah udhar
kuchh pataa de na ga.ii umr-e-gurezaa.n apnaa
Nazm Tabatabai
Sher
fusuun-e-sher se ham us mah-e-gurezaa.n ko
KHalaa.o.n se sar-e-kaaGaz utaar laa.e hai.n
Ehsan Danish Kandhlvi
Sher
hijr ke daur me.n har daur ko shaamil kar le.n
is me.n shaamil yahii ik umr-e-gurezaa.n kyuu.n hai
Zaheer Kashmiri
Sher
Gam-o-andoh kaa lashkar bhii chalaa aataa hai
ek gho.D-dau.D sii hai umr-e-gurezaa.n ke qariib
Natiq Gulavthi
Sher
nahii.n hai rahnaa use bhii bahaar me.n 'taahir'
mujhe bhii mausam-e-shaadaab se nikalnaa hai
Tahir Adeem
Sher
'taahir' KHudaa kii raah me.n dushvaariyaa.n sahii
ishq-e-butaa.n me.n kaun sii aasaaniyaa.n rahii.n
Jafar Tahir
Sher
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
ne haath miraa haath hai ne jeb mirii jeb
kyaa dast o garebaa.n ko kahuu.n dast o garebaa.n
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
taasiir-e-barq-e-husn jo un ke suKHan me.n thii
ik larzish-e-KHafii mire saare badan me.n thii
Hasrat Mohani
Sher
taaziir-e-jurm-e-ishq hai be-sarfa mohtasib
ba.Dhtaa hai aur zauq-e-gunah yaa.n sazaa ke ba.ad
Altaf Hussain Hali
Sher
kaise hastii ke samundar kaa talaatum Thahre
zindagii bhar yahii tadbiir-e-bashar hotii hai
Khalid Nadeem Budauni
Sher
aisaa kisii se junuu.n dast-o-garebaa.n na ho
chaak-e-garebaa.n kaa bhii chaak garebaa.n kiyaa
Raza Azimabadi
Sher
merii taraf se KHaatir-e-sayyaad jamaa hai
kyaa u.D sakegaa taa.ir-e-be-baal-o-par kahii.n
Ashraf Ali Fughan
Sher
nigah-e-naaz se is chust qabaa ne dekhaa
shauq betaab gul-e-chaak-e-garebaa.n samjhaa