SEARCH RESULTS
Showing search results for "taabiir-e-gurezaa.n"
Ghazal MATCHES FOR "taabiir-e-gurezaa.n"
Ghazal
husn-e-ta.abiir mirii aa.nkh me.n utraa kaise
tuu ko.ii huur hai yaa ko.ii parii lagtii hai
Ushba Tabeer
Ghazal
mujhe to chashm-e-gurezaa.n bhii iltifaat lagii
tire sitam pe bhii iisaar kaa gumaa.n guzraa
Syeda Shan-e-Meraj
Ghazal
nigaah-e-diida-e-ta.abiir ke havaale 'KHalish'
hai ye bayaaz alag intiKHaab-e-KHvaab ke saath
Badr-e-Alam Khalish
Ghazal
shabaab aa gayaa us par shabaab se pahle
dikhaa.ii dii mujhe ta.abiir KHvaab se pahle
A G Josh
Ghazal
sulag rahaa hai ufuq bujh rahii hai aatish-e-mahr
rumuuz-e-rabt-e-gurezaa.n khule to baat chale
Aziz Hamid Madni
Ghazal
'ishrat kii vaadiyo.n se guzartaa chalaa gayaa
paiham fareb-e-umr-e-gurezaa.n liye hu.e
Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
Ghazal
mauja-e-umr-e-gurezaa.n kii ravaanii jaisaa
aa.nkh me.n kuchh to hai Thahre hu.e paanii jaisaa
Saima Zaidi
Ghazal
mashq-e-az-KHud-raftagii se hai.n ba-gulzaar-e-KHayaal
aashnaa tabiir-e-KHvaab-e-sabza-e-begaana ham
Mirza Ghalib
Ghazal
ek ik adaa-e-husn-e-gurezaa.n nazar me.n hai
paamaal ho rahe hai.n ba.Dii be-ruKHii se ham
Ram Krishn Muztar
Ghazal
kuchh aise jald KHatm hu.e zindagii ke din
ham e.atibaar-e-umr-e-gurezaa.n na kar sake
Afqar Mohani
Ghazal
zindagii do gha.Dii kii mastii hai
maut ta.abiir-e-KHvaab-e-hastii hai
Shoaib Ahmad Merathi Nudrat
Ghazal
kab se huu.n ham-qadam-e-vaqt-e-gurezaa.n lekin
duur hai manzil-e-maqsuud ba-dastuur bahut
Khwaja Shauq
Ghazal
hamraah lutf-e-chashm-e-gurezaa.n bhii aa.egii
vo aa.e.nge to gardish-e-dauraa.n bhii aa.egii
Zaheer Kashmiri
Ghazal
vaah re paas-e-vafaa allaah rii sharm-e-aarzuu
har nafas hamraahii-e-umr-e-gurezaa.n me.n rahaa
Munshi Amirullah Tasleem
Ghazal
ko.ii baaqii nahii.n ab tark-e-ta.alluq ke liye
vo bhii jaa kar saf-e-ahbaab-e-gurezaa.n se milaa
Mustafa Zaidi
Ghazal
har shai qariib aa ke kashish apnii kho ga.ii
vo bhii ilaaj-e-shauq-e-gurezaa.n na kar sake
Sahir Ludhianvi
Ghazal
yuu.n to har ek dard ne baKHshii hayaat-e-nau
mai.n fitrat-e-hayaat-e-gurezaa.n ko kyaa karuu.n