SEARCH RESULTS
Showing search results for "taqaddus"
Sher MATCHES FOR "taqaddus"
Sher
farishta hai to taqaddus tujhe mubaarak ho
ham aadmii hai.n to aib-o-hunar bhii rakhte hai.n
Dil Ayubi
Sher
terii ma.asuum nigaaho.n ke taqaddus kii qasam
so bhii jaa.uu.n to tire KHvaab jagaa dete hai.n
Unknown
Sher
aa.ii vo rafta rafta taqaddus kii raah tak
phir yuu.n hu.aa ki niyyat-e-naaseh biga.D ga.ii
Nasim Zahid
Sher
Aatish Bahawalpuri
Sher
tire makaa.n kaa taqaddus aziiz thaa itnaa
mai.n aa rahaa huu.n galii se pare utaar ke paa.nv
Sanaullah Zaheer
Sher
aapsii rishto.n kii KHushbuu ko ko.ii naam na do
is taqaddus ko na kaaGaz par utaaraa jaa.e
Mahendra Partap Chand
Sher
tirii maa'suum nigaaho.n ke taqaddus ke tufail
'ishq tahziib se aaraasta ho jaataa hai
Zubair Ahmad Saani
Sher
Jaleel Manikpuri
Sher
mai.n jise pyaar kaa andaaz samajh baiThaa huu.n
vo tabassum vo takallum tirii aadat hii na ho
Sahir Ludhianvi
Sher
Dagh Dehlvi
Sher
ik tajassus dil me.n hai ye kyaa hu.aa kaise hu.aa
jo kabhii apnaa na thaa vo Gair kaa kaise hu.aa
Khatir Ghaznavi
Sher
iz.haar pe bhaarii hai KHamoshii kaa takallum
harfo.n kii zabaa.n aur hai aa.nkho.n kii zabaa.n aur
Haneef akhgar
Sher
Najma Tasadduq
Sher
sirf is takabbur me.n us ne mujh ko jiitaa thaa
zikr ho na us kaa bhii kal ko naa-rasaa.o.n me.n
Parveen Shakir
Sher
charaaG jalte hai.n baad-e-sabaa mahaktii hai
tumhaare husn-e-takallum se kyaa nahii.n hotaa
Hamid mahboob
Sher
dimaaG un ke tajassus me.n jism ghar me.n rahaa
mai.n apne ghar hii me.n rahte hu.e safar me.n rahaa
Anjum Siddiqui
Sher
tuu roz jis ke tajassus me.n aa rahaa hai yahaa.n
hazaar baar bataayaa hai vo nahii.n huu.n me.n
Afzal Khan
Sher
apne andaaz-e-takallum ko badal de varna
meraa lahja bhii tire saath badal saktaa hai