SEARCH RESULTS
Showing search results for "taraana"
Sher MATCHES FOR "taraana"
Sher
jo Gazal aaj tire hijr me.n likkhii hai vo kal
kyaa KHabar ahl-e-mohabbat kaa taraana ban jaa.e
Ahmad Faraz
Sher
fanaa hii kaa hai baqaa naam duusraa 'anjum'
nafas kii aamad-o-shud maut kaa taraana hai
Mahaveer Parshad Anjum
Sher
ko.ii bhii sur me.n nahii.n hai 'muniir' kyaa kiije
ye zindagii kaa taraana riyaaz maa.ngtaa hai
Badr Muneer
Sher
ko.ii kartaa hai jab hindostaan kii baat a 'saahil'
mujhe iqbaal kaa qaumii taraana yaad aataa hai
Mohammad Ali Sahil
Sher
mirii pyaas kaa taraana yuu.n samajh na aa sakegaa
mujhe aaj sun ke dekho mirii KHaamoshii se aage
Neena Sahar
Sher
gul baa.ng thii gulo.n kii hamaaraa taraana thaa
apnaa bhii is chaman me.n kabhii aashiyaana thaa
Hatim Ali Mehr
Sher
yaziid-e-vaqt ne ab ke lagaa.ii hai qadGan
ki bhuul kar bhii na gaa.e ko.ii taraana-e-ishq
Abid Wadood
Sher
Akhtar Shaikh
Sher
ik tarz-e-taGaaful hai so vo un ko mubaarak
ik arz-e-tamannaa hai so ham karte rahe.nge
Faiz Ahmad Faiz
Sher
sarfaroshii kii tamannaa ab hamaare dil me.n hai
dekhnaa hai zor kitnaa baazu-e-qaatil me.n hai
Bismil Azimabadi
Sher
ga.nvaa.ii kis kii tamannaa me.n zindagii mai.n ne
vo kaun hai jise dekhaa nahii.n kabhii mai.n ne
Jaun Eliya
Sher
Allama Iqbal
Sher
tiir khaane kii havas hai to jigar paidaa kar
sarfaroshii kii tamannaa hai to sar paidaa kar
Ameer Minai
Sher
ab dil kii tamannaa hai to ai kaash yahii ho
aa.nsuu kii jagah aa.nkh se hasrat nikal aa.e
Ahmad Faraz
Sher
aaGaaz-e-mohabbat kaa anjaam bas itnaa hai
jab dil me.n tamannaa thii ab dil hii tamannaa hai