SEARCH RESULTS
Showing search results for "tez-gaam"
Sher MATCHES FOR "tez-gaam"
Sher
yaaraan-e-tez-gaam ne mahmil ko jaa liyaa
ham mahv-e-naala-e-jaras-e-kaarvaa.n rahe
Altaf Hussain Hali
Sher
yaaraan-e-tez-gaam ne manzil ko jaa liyaa
ham mahv-e-naala-e-jaras-e-kaarvaa.n rahe
Altaf Hussain Hali
Sher
mai.n bhii ruk ruk ke na martaa jo zabaa.n ke badle
dashna ik tez saa hotaa mire Gam-KHvaar ke paas
Mirza Ghalib
Sher
ham dil se rahe tez havaa.o.n ke muKHaalif
jab tham gayaa tuufaa.n to qadam ghar se nikaalaa
Aslam Mahmood
Sher
tez itnaa hii agar chalnaa hai tanhaa jaa.o tum
baat puurii bhii na hogii aur ghar aa jaa.egaa
Asim Wasti
Sher
ik tez ra.ad jaisii sadaa har makaan me.n
logo.n ko un ke ghar me.n Daraa denaa chaahiye
Muneer Niyazi
Sher
tez thii itnii ki saaraa shahr suunaa kar ga.ii
der tak baiThaa rahaa mai.n us havaa ke saamne
Muneer Niyazi
Sher
nashsha thaa zindagii kaa sharaabo.n se tez-tar
ham gir pa.De to maut uThaa le ga.ii hame.n
Irfan Ahmad
Sher
KHauf se ab yuu.n na apne ghar kaa darvaaza lagaa
tez hai.n kitnii havaa.e.n is kaa andaaza lagaa
Shahid Meer
Sher
tez kab tak hogii kab tak baa.Dh rakkhii jaa.egii
ab to ai qaatil tirii shamshiir aadhii rah ga.ii
Agha Hajju Sharaf
Sher
un ke ho.nTo.n par aayaa tabassum udhar
nabz-e-aalam idhar tez-tar ho ga.ii
JaiKrishn Chaudhry Habeeb
Sher
vaqt kis tezii se guzraa roz-marra me.n 'muniir'
aaj kal hotaa gayaa aur din havaa hote ga.e
Muneer Niyazi
Sher
ulajh ke rah ga.e chehre mirii nigaaho.n me.n
kuchh itnii tezii se badle the un kii baat ke ra.ng
Fatima Hasan
Sher
hariif-e-teG-e-sitam-gar to kar diyaa hai tujhe
ab aur mujh se tuu kyaa chaahtaa hai sar mere
Irfan Siddiqi
Sher
Nasir Shahzad
Sher
qatl par bii.Daa uThaa kar teG kyaa baa.ndhoge tum
lo KHabar apnii dahan gum hai kamar miltii nahii.n