SEARCH RESULTS
Showing search results for "vaqfe"
Sher MATCHES FOR "vaqfe"
Sher
hamaaraa hijr kyaa hai raushnii kaa ek vaqfa
isii vaqfe me.n hai simTii hu.ii vus.at hamaarii
Aziz Nabeel
Sher
Jigar Moradabadi
Sher
vo KHalish jis se thaa ha.ngaama-e-hastii barpaa
vaqf-e-betaabii-e-KHaamosh hu.ii jaatii hai
Jigar Moradabadi
Sher
vafaa kare.nge nibaahe.nge baat maane.nge
tumhe.n bhii yaad hai kuchh ye kalaam kis kaa thaa
Dagh Dehlvi
Sher
ham se ko.ii ta.alluq-e-KHaatir to hai use
vo yaar baa-vafaa na sahii bevafaa to hai
Jameel Malik
Sher
anjaam-e-vafaa ye hai jis ne bhii mohabbat kii
marne kii du.aa maa.ngii jiine kii sazaa paa.ii
Nushur Wahidi
Sher
Dhuu.nD uj.De hu.e logo.n me.n vafaa ke motii
ye KHazaane tujhe mumkin hai KHaraabo.n me.n mile.n
Ahmad Faraz
Sher
'shaad' Gair-mumkin hai shikva-e-butaa.n mujh se
mai.n ne jis se ulfat kii us ko baa-vafaa paayaa
Shaad Aarfi
Sher
ulfat me.n baraabar hai vafaa ho ki jafaa ho
har baat me.n lazzat hai agar dil me.n mazaa ho
Ameer Minai
Sher
Gairo.n se to fursat tumhe.n din raat nahii.n hai
haa.n mere liye vaqt-e-mulaaqaat nahii.n hai
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
dil se niklegii na mar kar bhii vatan kii ulfat
merii miTTii se bhii KHushbuu-e-vafaa aa.egii
Lal Chand Falak
Sher
ik baar us ne mujh ko dekhaa thaa muskuraa kar
itnii to hai haqiiqat baaqii kahaaniyaa.n hai.n