SEARCH RESULTS
Showing search results for "yaksaa.n"
Sher MATCHES FOR "yaksaa.n"
Sher
in me.n kyaa farq hai ab is kaa bhii ehsaas nahii.n
dard aur dil kaa zaraa dekhiye yaksaa.n honaa
S A Mehdi
Sher
hai is anjuman me.n yaksaa.n adam o vajuud meraa
ki jo mai.n yahaa.n na hotaa yahii kaarobaar hotaa
Ismail Merathi
Sher
Yagana Changezi
Sher
mujh ko na sunaa KHizr o sikandar ke fasaane
mere liye yaksaa.n hai fanaa ho ki baqaa ho
Hafeez Jalandhari
Sher
Abrar Kiratpuri
Sher
yaksaa.n kabhii kisii kii na guzrii zamaane me.n
yaadash-ba-KHair baiThe the kal aashiyaane me.n
Yagana Changezi
Sher
zamaane kaa chalan yaksaa.n nahii.n kuchh
kahii.n kuchh hai kahii.n kuchh hai kahii.n kuchh
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Shah Naseer
Sher
mujh se bhii raahgiir se bhii raah yaar ko
yaksaa.n hai dono.n paa.nv tale KHair-o-shar kii raah
Imdad Ali Bahr
Sher
baat jab hai ki har ik phuul ko yaksaa.n samjho
sab kaa aameza vahii aab vahii gil bhii vahii
Zafar Anwar
Sher
yahaa.n libaas kii qiimat hai aadmii kii nahii.n
mujhe gilaas ba.De de sharaab kam kar de
Bashir Badr
Sher
na ko.ii va.ada na ko.ii yaqii.n na ko.ii umiid
magar hame.n to tiraa intizaar karnaa thaa
Firaq Gorakhpuri
Sher
kabhii yak-ba-yak tavajjoh kabhii daf.atan taGaaful
mujhe aazmaa rahaa hai ko.ii ruKH badal badal kar
Shakeel Badayuni
Sher
isii liye to yahaa.n ab bhii ajnabii huu.n mai.n
tamaam log farishte hai.n aadmii huu.n mai.n
Bashir Badr
Sher
kaun aa.egaa yahaa.n ko.ii na aayaa hogaa
meraa darvaaza havaa.o.n ne hilaayaa hogaa
Kaif Bhopali
Sher
yahaa.n kisii ko bhii kuchh hasb-e-aarzuu na milaa
kisii ko ham na mile aur ham ko tuu na milaa