SEARCH RESULTS
Showing search results for "zaabte"
Sher MATCHES FOR "zaabte"
Sher
Saba Afghani
Sher
Gam se naazuk zabt-e-Gam kii baat hai
ye bhii dariyaa hai magar Thahraa hu.aa
Fana Nizami Kanpuri
Sher
mai.n kyaa karuu.n ki zabt-e-tamannaa ke baavajuud
be-iKHtiyaar lab pe tiraa naam aa gayaa
Jagan Nath Azad
Sher
zabt-e-girya kabhii kartaa huu.n to farmaate hai.n
aaj kyaa baat hai barsaat nahii.n hotii hai
Hafeez Jalandhari
Sher
hai miraa zabt-e-junuu.n josh-e-junuu.n se ba.Dh kar
na.ng hai mere liye chaak-e-garebaa.n honaa
Chakbast Braj Narayan
Sher
Gam se nisbat hai jinhe.n zabt-e-alam karte hai.n
ashk ko ziinat-e-daamaa.n nahii.n hone dete
Abrar Kiratpuri
Sher
siikh le ham se ko.ii zabt-e-junuu.n ke andaaz
barso.n paaband rahe par na hilaa.ii zanjiir
Karamat Ali Shaheedi
Sher
tuu kuchh to mire zabt-e-mohabbat kaa sila de
ha.ngaam-e-'fanaa' diida-e-pur-nam kii tarah aa
Fana Nizami Kanpuri
Sher
siine me.n zabt-e-Gam se chhaalaa ubhar rahaa hai
sho.ale ko band kar ke paanii banaa rahe hai.n
Arzoo Lakhnavi
Sher
jafaa o jaur-e-musalsal vafaa o zabt-e-alam
vo iKHtiyaar tumhe.n hai ye iKHtiyaar mujhe
Anwar Sabri
Sher
mirii zindagii kaa mahvar yahii soz-o-saaz-e-hastii
kabhii jazb-e-vaalhaana kabhii zabt-e-aarifaana
Farooq Banspari
Sher
yuu.n bhii milii hai mujh ko mire zabt-e-Gam kii daad
aksar vo sar jhukaa.e hu.e muskuraa.e hai.n
Ayaz Jhansvi
Sher
kushta-e-zabt-e-fuGaa.n naGma-e-be-saaz-o-sadaa
uf vo aa.nsuu jo lahuu ban ke Tapaktaa hogaa
Haneef Akhgar
Sher
zaabte aur hii misdaaq pe rakkhe hu.e hai.n
aaj-kal sidq-o-safaa taaq pe rakkhe hu.e hai.n
Gulzar Bukhari
Sher
Meer Hasan
Sher
ma.aal-e-zabt-e-paiham ho ga.ii hai
masarrat haasil-e-Gam ho ga.ii hai