SEARCH RESULTS
Showing search results for ",NtkA"
Ghazal MATCHES FOR ",ntka"
Ghazal
lailaa kaa naaqa dasht me.n taasiir-e-ishq se
sun kar fuGaan-e-qais bajaa-e-hudii chale
Shaikh Ibrahim Zauq
Ghazal
yaarab kase hai naaqa har Guncha is chaman kaa
raah-e-vafaa ko ham to masduud jaante hai.n
Meer Taqi Meer
Ghazal
phir na.e sar se junuun-e-qais kii buniyaad rakh
phir na.ii lailaa banaa naaqa banaa mahmil banaa
Azad Ansari
Ghazal
thak ga.e naaqa o saarbaa.n tham ga.e kaarvaa.n
ghanTiyo.n kii sadaa so ga.ii so raho so raho
Nasir Kazmi
Ghazal
Irfan Siddiqi
Ghazal
ab numuudaar ho is gard se ai naaqa-savaar
kab se bastii tire milne kii du'aa kartii hai
Irfan Siddiqi
Ghazal
kisii sahraa se guzartaa hai ko.ii naaqa-savaar
aur mizaaj us kaa havaa sab se judaa puuchhtii hai
Asad Badayuni
Ghazal
sabaa qabiila-e-lailaa me.n u.D ga.ii ye KHabar
ki naaqa najd ke a.araabiyo.n ne luuT liyaa
Insha Allah Khan Insha
Ghazal
mahaar-e-naaqa-e-lailaa tuu khii.nch le ai aah
haTaa de dast-e-talab ba.Dh ke parde mahmil ke
Bedam Shah Warsi
Ghazal
jaan me.n jaan tabhii qais ke bas aatii hai
naaqa-e-lailaa kii jab ba.ng-e-jaras aatii hai
Meer Hasan
Ghazal
Ijtiba Rizvi
Ghazal
mai.n hii lailaa huu.n mai.n hii mahmil
naaqa bhii huu.n mai.n hii saarbaa.n huu.n
Ismail Merathi
Ghazal
hai kis ke dast-e-karam me.n mahaar-e-naaqa-e-jaa.n
safar kaa lutf Gam-e-ham-safar ne chhiin liyaa
Allama Talib Jauhari
Ghazal
saarbaa.n naaqa-e-lailaa ko na dau.Daa itnaa
paa.nv majnuu.n ke thake haath tire kyaa aayaa
Muzaffar Ali Aseer
Ghazal
aahista qadam rakhiyo tuu ai naaqa-e-lailaa
majnuu.n kaa ba.ndhaa aataa hai dil gaam se tere
Meer Hasan
Ghazal
ravaa.n shab ko hu.aa kyaa naaqa-e-ruuh
nazar aa.ii na gard-e-kaarvaa.n tak
Miyan dad Khan Sayyah
Ghazal
banaa ke naaqa-e-ulfat kaa saarbaan mujhe
phir us ke baa'd phiraayaa gayaa jahaan mujhe
Ammar Yasir Migsi
Ghazal
niklaa na jism se dil-e-naalaa.n shariik-e-ruuh
manzil me.n rang naaqa se apne bichha.D gayaa